|
Post by deadly on Jan 15, 2007 15:09:03 GMT 10
Super Angel & sohni
|
|
|
Post by deadly on Jan 15, 2007 16:05:34 GMT 10
Hanste Hanste Ro Padti Thi Kitni Paagal Wo Ladki Thi
Us Ke Hont To Chup Rehte The Aankho Se Baatein Karti Thi
Chat Per Dhoop Mein Baithe Baithe Din Bhar Wo Sapne Bunti Thi
Uljhi Yaadein Suljhane Mein Saari Raat Gawa Deti Thi
Kitna Tha Thehraoo Us Mein Lekin Wo Kitni Gehri Thi
Ek Din Chalte Chalte us Ne Mujh Se Koi Baat Kahi Thi
Aur Phir Raasta Ek Nahi Tha Us Ki Manzil Aur Koi Thi
Bilkul Waise Phool Khilay Hain Jaisay Wo Haansti Rehti Thi
Ab To Bhool Gaya Hoon Shayad Us Par Ek Ghazal Likhi Thi!!!
|
|
|
Post by zee on Jan 16, 2007 2:26:21 GMT 10
|
|
|
Post by Lovely on Jan 17, 2007 4:16:12 GMT 10
|
|
|
Post by deadly on Jan 17, 2007 13:58:13 GMT 10
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“ Num Hoe Ankhayen Muskurany Say
Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain Jantay Houn Jisay Zamany Say
Doston Ki Parakh Nahi Kerna Maan Totay Gaa Azmany Say
Jab Say Apno Say Choot Khaye Hai Koi Shikwah Nahi Zamanay Say
Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam “Dil Ki Batyen Hain Bas Fasanay Say “
|
|
|
Post by deadly on Jan 17, 2007 13:58:53 GMT 10
Roye woh es kadar meri LASh se lipatkar agar es baat ka pata hota to kab ke mar gaye hote
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jan 17, 2007 17:27:12 GMT 10
Tu Samnadar hai, Mai Sahilon ki Hawa Tu Baharon ki Khushbo Bhari Shaam hai, Mai Sitara Tera Zindagi ki Zamanat Tera NaaM hai, Tu Sahara Mera Mai ne Sare Jahaan mai Tujh ko Chuna Tu Samnadar hai, Mai Sahilon ki Hawa Tum Chalo to Taarey bhi Chalne Lage Ansu'on ki Tarah Khawab Ankhon Mai Jalne Lage Arzoo ki Tarah Teri Manzil Bane Mera her Rasta Tu Samnadar hai, Mai Sahilon ki Hawa
|
|
|
Post by deadly on Jan 17, 2007 17:43:08 GMT 10
Wafa ke sheesh mahal main saja liya main ne Woh ek dil jise patthar bana liya main ne
Yeh soch kar ke na ho taak main khushi koi Ghamon ki ouat main khud ko chupa liya main ne
Kabhi na khatm kiya main ne roshni ka muhaaz Agar chiraagh bujha, dil jala liya main ne
Kamal yeh hai ke jo dushman pe chalana tha Woh teer apne kaleje pe kha liya main ne
Woh jiski adaawat main ek pyaar bhi tha Us aadmi ko gale se lagaa liya main ne
|
|
|
Post by captain on Jan 18, 2007 2:01:40 GMT 10
|
|
|
Post by Lovely on Jan 18, 2007 4:17:14 GMT 10
|
|
|
Post by deadly on Jan 18, 2007 13:44:23 GMT 10
Fareb Aajkal Unki Fitrat Hogayi Hai, Ya Phir Unko Gaironsay Ulfat Ho Gayi Hai, Mere zikar Se Bhi Ghabranay Lagay Hai Wo, Kya Unhein Meray Naamsay Nafrat Ho Gayi Hai...
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jan 18, 2007 14:52:35 GMT 10
Na thi nafrat zamane se ....kisi ka jab sahara tha jahan walo sanbhal jao ...ke ab be-asraa hon main
|
|
|
Post by deadly on Jan 18, 2007 15:13:05 GMT 10
zabar 10 sohni
|
|
|
Post by deadly on Jan 18, 2007 15:13:22 GMT 10
us mehr-e-taban say ja kay keh do woh apni kirnoon ko gin kay rakh lay
main apnay sehra kay zarray zarray ko khud chamakna sikha raha hun
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jan 18, 2007 18:45:32 GMT 10
Agar hoon phool pardesi tu mat choomo be-wafa honge Watan ke hoon agar kaante tu bhar lo apne daman main
|
|
|
Post by Lovely on Jan 19, 2007 3:16:39 GMT 10
Nice sohni
|
|
|
Post by deadly on Jan 19, 2007 13:34:49 GMT 10
WOW kiya khenay hain
|
|
|
Post by deadly on Jan 19, 2007 13:36:42 GMT 10
Dost ne dosti ke liye dost ko bhula diya, Kya hua jo kisi aur ke liye aapne hame bhula diya, hum to wese bhi akele the, kya howa jo app ne hame ehsaas dila diya...
|
|
|
Post by Lovely on Jan 21, 2007 6:17:50 GMT 10
wah kia baat ahi
|
|
|
Post by Lovely on Jan 22, 2007 3:16:16 GMT 10
Maana K Bhul Jana Aap Ki Fitrat Hi Sahi Magar Humein Bhul Jana Aap Ki Kismat MeiN Nahi Agar Yaqeen Naho To Aazma K Dekh Lena Apny Aap Ko Bhul Jaaoge Par Humein Nahi..
|
|
|
Post by deadly on Jan 22, 2007 14:03:36 GMT 10
Around the corner I have a friend, In this great city that has no end, Yet the days go by and weeks rush on, And before I know it, a year is gone. And I never see my old friends face, For life is a swift and terrible race, He knows I like him just as well, As in the days when I rang his bell. And he rang mine but we were younger then, And now we are busy, tired men. Tired of playing a foolish game, Tired of trying to make a name. "Tomorrow" I say! "I will call on Jim Just to show that I'm thinking of him." But tomorrow comes and tomorrow goes, And distance between us grows and grows. Around the corner, yet miles away, "Here's a telegram sir," "he' died today." And that's what we get and deserve in the end. Around the corner, a vanished friend.
|
|
|
Post by captain on Jan 23, 2007 2:37:51 GMT 10
|
|
|
Post by Lovely on Jan 23, 2007 3:21:05 GMT 10
Neend raaton ko ura detey hain Hum sitaron ko dua detey hain Roz achey nahi lagtey aansooo Khass moqon par maza detey hain
|
|
|
Post by deadly on Jan 23, 2007 13:13:59 GMT 10
nice:(
|
|
|
Post by deadly on Jan 23, 2007 13:15:10 GMT 10
mai janta hu zalim tujhe is baat ka dar hai ki mai tujhe rusva sare aam kar dunga na aayega kabi mere naam k saath tera naam mai apne naam ko itna badnam kar dunga
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jan 24, 2007 1:37:15 GMT 10
Piyaar Chupta Nahin Chupane Say Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Say, Piyaar Chupta Nahin Chupane Say. Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho, Kabhi Matlab Say Kabhi Bahaaney Say. Piyaar Dil Mein Hai To Lao Zubaan Pey, Aag Badhti Hai Ye Bujhaaney Sey. Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai, Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaney Sey. Chalo Ek Dua To Apni Poori Huiey, Mil Liye Apne Ek Deewaaney Sey. Roye Jatey Ho, Bas Roye Jatey Ho, Kya Hoga Ye Dhan Lutaaney Sey. Karo Koshish Ki Kurbatein Hi Rahein, Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaaney Sey. Kya Sunaayein Kisi Ko Raaz-e-Dil, Dard Bhi Badhta Hai Sunaaney Sey. Bhool Jaao Kar Ke Achha Hai, Ehsaan Rehta Nahin Jataaney Sey
|
|
|
Post by Lovely on Jan 24, 2007 5:19:18 GMT 10
NIce Sohni
|
|
|
Post by deadly on Jan 24, 2007 13:41:13 GMT 10
Zabar 10 sohni
|
|
|
Post by deadly on Jan 24, 2007 13:43:22 GMT 10
Ik kiran ummeed ki, toota sitara ban gaee saawan ki aaee thee jhari, ashkon' ka dhara ban gaee
Toot ker ik shaakh ki maanind kal jo gir pari Aaj wo nanhi qalam, fasl e baharan' ban gaee
Ik zara se deep main duniya jahan ka husn tha Aaj teri ik nazar, misl e nazara ban gaee
Ab waqt khushiyan laega gham ka zamana tham gaya Yeh aas thamti saans tak dil ka sahara ban gaee
Janay kis manzil ki khatir chal diye kashti liye Aarzoo kee nao khud apna kinara ban gaee
Ik teri ummeed pe qaaim hai apni zindagi Toot bhi gar yeh gaee to wasl e yaran ban gaee
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jan 24, 2007 15:45:07 GMT 10
"Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga... Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi....... Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy....... Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say.. Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........ Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana......... Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.... Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....
|
|