|
Post by Lovely on Feb 2, 2007 3:25:58 GMT 10
|
|
|
Post by deadly on Feb 2, 2007 13:38:17 GMT 10
zabar10 sohni & angel Janab Deadly is back ....
|
|
|
Post by deadly on Feb 2, 2007 14:01:13 GMT 10
Moum ki tarhan pighaltay hoey dekha usko Rut jo badli tou badaltay hoey dekha usko
Wo jo kaantay ko bhi narmi say chua karta tha Hamnay phooloun ko masaltay hoey dekha usko
Janay kis gham ko chupanay ki tamana thi usay Aj har baat par hastay hoey dekha usko
Janay wo mangnay jata hay duaoun may kisay Hath uthtay hi sisaktay hoey dekha usko….!
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 3, 2007 1:52:02 GMT 10
zabardast deadly.......
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 3, 2007 1:53:13 GMT 10
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde, Use Mera ya Mujhe Uska Karde. Bahut Dukh Sahe He Maine, Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde. Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna, Judai Ke Safar Ko Kum Karde. Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse, Use Utna Kareeb Karde. Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam, To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde. [/size][/color]
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 3, 2007 1:54:48 GMT 10
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai, sachi chahat to sada bezuban hoti hai, pyar mai dard bhi mile to kya gabrana, suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....
|
|
|
Post by Lovely on Feb 3, 2007 5:14:42 GMT 10
zavardast shair hai sohni waw kai baat hai very nice Gr8
|
|
|
Post by zee on Feb 4, 2007 20:56:55 GMT 10
|
|
|
Post by deadly on Feb 5, 2007 17:28:20 GMT 10
Thankz Sohni .... Zabar10 collection
|
|
|
Post by deadly on Feb 5, 2007 18:19:23 GMT 10
nikal aatay hain aanso ronay se pahlay..
toot jatay hain saray khuaab sonay se pahlay..
kahtay hain k pyar 1 saza hai..
kaash koi rok laita honay se pahlay...
|
|
|
Post by deadly on Feb 5, 2007 18:19:43 GMT 10
wo baat baat per deta tha mujhay parindoo ki misaal saaf nahi keh sakta tha mera shehr chore jao
|
|
|
Post by Lovely on Feb 6, 2007 4:36:10 GMT 10
kia baat hai deadly ji
|
|
|
Post by prettyss0 on Feb 6, 2007 18:34:16 GMT 10
v nice frnds
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 7, 2007 1:48:43 GMT 10
sadia ji daad hi deti rahen gi ya poetry ke maidan main jump bhi lagaen gi.....
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 7, 2007 1:52:05 GMT 10
apane haathon se yun chehre ko chupaate kyon ho mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho tum kabhii meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa pyaar karate ho to phir pyaar chhupaate kyon ho ashk aankhon me merii dekh ke rote kyon ho dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho
in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho roz mar mar ke mujhe jiine ko kehte kyon ho milne aate ho to phir lauT ke jaate kyon ho
|
|
|
Post by Lovely on Feb 7, 2007 3:13:27 GMT 10
Nice
|
|
|
Post by angel on Feb 7, 2007 3:22:24 GMT 10
wow gr8 collection deadly n sohni....v.nice:P
|
|
|
Post by angel on Feb 7, 2007 3:28:57 GMT 10
Yeh to khel taamasha hai
Ek do Mulakato mein..Pyar nahi hai ho jata,
Yeh to yaaro Pyar nahi hai, Yeh to khel taamasha hai,
Aajkal ka pyar hai kya,
Ek jaata hai duja aa jaata hai,
Duje ke jaane ke baad phir pyar ho jaata hai,
Yaaro pyar koi khel nahi hai jo bar bar ho jaata hai,
Dil ke ghar mein to mere yaaro ek hi Dilbar aata hai, Aajkal ka pyar hai kya yeh to khel taamasha hai. Apna jeevan gujar jaata hai, pyar samajh nahi aata hai, Pyar to yaaro hai wo deepak jo rahe dikhlata hai, Yaaro pyar koi hawas nahi hai, wo to ek ehsaas hai , Jo kuch leta nahi hai hamse, humko sab de jaata hai,
Pyar to yaaro hai wo jazzba jisko puja jaata hai,
Aajkal ka pyar hai kya yeh to khel taamasha hai.
|
|
|
Post by angel on Feb 8, 2007 5:05:25 GMT 10
Dost ban kar bhi nahi saath nibhanaywala
Dost ban kar bhi nahi saath nibhanaywala wahi andaaz hai zaalim kaa zamaanaywala
ab ise log samajhate hain giraftaar meraa saKht nadim hai mujhe daam main laanaywala
kyaa kahain kitane maraasim the hamaare os se wo jo ek shaKhs hai muonh pher ke jaanaywala
tere hote hue aa jaaty thy saary duniyaa aaj tanhaa houn to koi nahi aanaywala
muntazir kis kaa houn Toothi hoe dahaleez pe main kaun aayegaa yahaun koon hai aanaywala
main ne dekhaa hai bahaaroun main chaman ko jalate hai koi Khwaab kii taabeer bataanaywala
kyaa Khabar thi jo meree jaan main ghulaa hai itanaa hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi laanaywala
tum taqalluf ko bhi ikhalaas samajhate ho 'Faraz' dost hotaa nahain har haath milaanaywala
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 8, 2007 23:49:14 GMT 10
very nice angel......
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 8, 2007 23:51:04 GMT 10
be-qaraarii gayii, qaraar gayaa tark-e-ishq aur mujh ko maar gayaa vo jo aaye to Khushk ho gaye ashk aaj Gham kaa bhii aitbaar gayaa ham na haNs hii sake, na hii ro sake vo gaye yaa har iKhtiyaar gayaa aap kii zid-e-be-mahal se Kaleem sab kii nazroN kaa aitbaar gayaa aa gaye vo to ab ye ronaa hai lutf-e-Gham, lutf-e-intizaar gayaa kis maze se tere baghair “Khumar” bay jiye zindagii guzaar gayaa
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 8, 2007 23:59:39 GMT 10
ai jazbaa-e-dil gar mai.n chaahuu.N har chiiz muqaabil aa jaaye manzil ke liye do gaam chaluuN aur saamne manzil aa jaaye kashtii ko Khuda per chhoR bhi de, kashtii ka Khudaa Khuda haafiz hai mushkil to nahiiN in maujoN meiN bahtaa huvaa saahil aa jaaye ai dil kii lagii chal yuN hii sahii, chalataa to huN unkii mahfil meiN us vaqt mujhe chauNkaa denaa jab rang pe mahfil aa jaaye ai raaHbar-e-kaamil chalane ko tayyaar to huN par yaad rahe us vaqt mujhe bhaTkaa denaa jab saamne manzil aa jaaye haaN yaad mujhe tum kar lenaa aavaaz mujhe tum de lenaa is raah-e-muhabbat meiN ko’ii darpaish jo mushkil aa jaaye ab kyuN DhuuNDhuuN vo chashm-e-karam hone de sitam balaa-e-sitam maiN chaaHtaa huN ai jazbaa-e-Gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye is jazba-e-dil ke baare meiN ek mashvaraa tum se letaa huN us vaqt mujhe kyaa laazim hai jab tujh pe meraa dil aa jaaye ai barq-e-tajallii kyaa tuune mujhko bhii Muusaa samjhaa hai maiN tuur nahiiN jo jal jaauuN jo chaahe muqaabil aa jaaye
|
|
|
Post by Lovely on Feb 9, 2007 4:47:57 GMT 10
Very nice
|
|
|
Post by deadly on Feb 9, 2007 16:00:33 GMT 10
Xcellant angel & sohni
|
|
|
Post by deadly on Feb 9, 2007 16:06:49 GMT 10
<----------Ankhein Kitna Roti Hein---------> Tum Kia Jano Yaadon Main Kho Kar Aankhain Kitna Rooti Hain Dil Main Apnay Main Dard Samoo Kar Aankhain Kitna Rooti Hain
Tum Kia Jano Sawan Ka Mousam Kitni Aag Lagata Hai Barish Ki Bondon Ko Cho Kar Aankhain Kitna Rooti Hain
Ab Tu Choti Si Baat Par Bhi Yeh Dil Bhar Sa Jata Hai Halki Si Dil Ko Lagti Hai Thokar Aankhain Kitna Rooti Hain
Ab Tu Yeh Jeena Bhi Hum Ko Koi Boojh Sa Lagta Hai Din Bhar Is Baar Ko Dhoo Kar Aankhain Kitna Rooti Hain
Zakham Zakham Hain Aakhain Meri Maazi Ki Parchain Say Apnay Undar Lahoo Daboo Kar Aankhain Kitna Rooti Hain
Tum Ek Duniya Nayi Gaye Ho Tum Ko Kia Ehsaas In Rahoon Main Tanha Si Ho Kar Aankhain Kitna Rooti Hain
|
|
|
Post by deadly on Feb 9, 2007 16:07:23 GMT 10
meray liyeh bhi is dunya may souchta hay koi yeh baat meray liyeh inkishaaf hay logoun.......!
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 10, 2007 4:24:48 GMT 10
|
|
|
Post by deadly on Feb 10, 2007 5:28:44 GMT 10
zabar 1o sohni
|
|
|
Post by deadly on Feb 10, 2007 5:30:30 GMT 10
Mat Is Khawaab K Peechey Bhaago Pathar Ban kar Reh Jao Gi Taiz Bohat hai Waqt ka Darya Tum bhi is mein Beh Jaao gi Yeh Nashter jaysi Ruswaayi Bolo, Kaise Seh Paao gi Kya Bachoo'n jaisi Baatoo'n se Tum Sab ko Behla sakti ho ? Kya Tum apney Mann ki Mantaq Dunya ko Samjha Sakti ho ? Khawaabo'n jaisi Baatein kar K Kya Taabeerein Pa sakti ho ? Baap ki Shafqat , Maa'n ki Mamta Kya Sach Much Thukra sakti ho ? Jis Ghar mein Parwaan charhi Tum Uss ko Chor ke aa Sakti ho ? Aisi Baatein Na Mymkin hain Bus Tum Apni Tanhayi mein Hij'r ke Geet hi Ga Sakti ho !
|
|
|
Post by deadly on Feb 10, 2007 5:32:23 GMT 10
arzoo hai wafa ban k teray sath rahon dharakte dil ki sada ban k teray sath rahon mere honton se jisay mout b na cheen sakay wo zindagi ki dua ban k teray sath rahon...
|
|