|
Post by prettyss0 on Sept 5, 2006 20:45:18 GMT 10
Nice frnds Sohni gi meri dad ki hi sher samjh len ap
|
|
|
Post by princeofdeath on Sept 5, 2006 23:11:24 GMT 10
|
|
|
Post by angel on Sept 11, 2006 6:31:09 GMT 10
Roya hoon bahut tab zara qarar mila hai, Is jahan me kisey sachha pyar mila hai. Guzar rahi hai zindagani imtehan ke daur se, Ik khatam hua to doosra taiyyar mila hai.
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 11, 2006 14:43:13 GMT 10
very nice angel.........
Guzar rahi hey zindagi Imtehan ke daur se Ek khatam Howa To Dosra Tayar Mila Hay Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal Gham ka khazana jo isko beshumar mila hay Who kamnasib hein jinhe mehboob mil gaya Mein khushnasib hon mujhe Intezar mila hay
|
|
|
Post by nida on Sept 13, 2006 5:09:12 GMT 10
Yeh bhi maloom tha k woh ab na guzreingey kabhi... Phir bhi na janey kya soch kar rehguzar taktey rahey .... Aankh mein aansoo bhi aya magar hum hanstey rahey... Mohabbat ka barham kuch is qadar hum rakhtey rahey......
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 16, 2006 6:13:48 GMT 10
Wo mil jate hai kahani bankar... Dil mein bas jate hai nishani bankar... Jinhe hum rakhte hai apni aakho mein.. Kyo nikal jate hai wo pani bankar.
|
|
|
Post by nida on Sept 17, 2006 3:52:59 GMT 10
Lehronmein doobtey rahey darya na mila Ussey bichar kar koi us jaisa na mila Kuch log thori dair k liya Achey lagey Magar hum jis k ho sakhey koi uss jaisa na mila
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 17, 2006 4:57:08 GMT 10
Khuda na kare apko koi gham milay Khushiyaan or hansi har dum milay Jab bhi kabhi ghum apki aur badhay Khuda kare raastey mai usay hum milain.....
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 18, 2006 1:23:27 GMT 10
Maine aasuon se kaha tanhai me aaya karo, Mehfil me hamara mazak mat udaya karo, Aasu bole mehfil me tumhe hi tanha paate hain, Isi liye saath dene chale aate hain.
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 21, 2006 6:41:43 GMT 10
Maana K Bhul Jana Aap Ki Fitrat Hi Sahi Magar Humein Bhul Jana Aap Ki Kismat MeiN Nahi Agar Yaqeen Naho To Aazma K Dekh Lena Apny Aap Ko Bhul Jaaoge Par Humein Nahi..
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 21, 2006 16:00:15 GMT 10
very nice imran.........bohat acha shair hay
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 21, 2006 16:01:21 GMT 10
Tujhe bhool jana.......jaanaan mumkin nahi Tu yaad na aae ........aisa koi din nahi.........
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 22, 2006 4:34:13 GMT 10
Thanks Sohni panchi ayen gey behlany ko ur jayen gey.... chura loo en lamhon ko phir hath na ayen gey.. ess wakt sey keh do yahen ruk jaye.. phir to shaid hum tum ko mil na payen gey
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 23, 2006 1:21:28 GMT 10
Dil se tera khayal na jaaye to kya karoon, Tu hi bata teri yaad jo aaye to kya karoon, Hasrat yeh hai ki ek nazar dekh loon tujhe, Kismat magar woh lamha na laaye to kya karoon
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 26, 2006 4:09:19 GMT 10
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge.., Hum sakoon Ban kar tare Dil Mein Utar Jayenge.., Mehsoos Karne Ki ik baar Koshish To Kijiye aap.., Door Hote Hoove Bhi aap ke Pass Nazer Aayenge...
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 26, 2006 13:32:13 GMT 10
Hum se aaya na gaya Tum se bulaya na gaya Faassssla "ANA" ka dono se mitaya na gaya
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 27, 2006 4:36:31 GMT 10
Humain na deikh zamaane ki gard aankhon say..., Tumhain khabar nahin k hum tujhay kitna chaahtay hain..
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 28, 2006 13:47:39 GMT 10
Jhoota ho koi wada aapka "Khuda Na Kare" Magar huzoor ko adat hay bhool jaane ki...
|
|
|
Post by angel on Sept 29, 2006 1:21:51 GMT 10
v nice sohni n imran
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 29, 2006 2:19:20 GMT 10
V nice frnds wah Imran boht achay ja ra hay ho
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 29, 2006 5:46:30 GMT 10
sadia ji ap bhi bohat achi jaa rahi hian............aur sunaiyee.....kaheen phir tu ghalib ji khuwaab main tu nahi aa gae........ ab aisa kero mir dard ko dekhna khuwaab main..... agar woh ijazat den tu unka kalam pesh ker dena.......
|
|
|
Post by prettyss0 on Oct 4, 2006 18:28:13 GMT 10
Maray khabon may sirf Mirza Galib atay hain wo bhi dantnay yey Mir dard hajrate Dag dahlvi Mir Taqi Mir to maray khabon k ass pass say bhi nahi gujartay
|
|
|
Post by SupremeSohni on Oct 5, 2006 4:37:19 GMT 10
kyon ji ghalib se aisi kon si shanasaai hay jo aapke khawabon main roz chale aate hain kya baat hay sadia ji..... hamen bhi tu pata chale
|
|
|
Post by SupremeSohni on Oct 5, 2006 4:37:51 GMT 10
Kadam Kadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya, Pada Jab Wakt To Apno Ne Sath Chod Diya. Kasam Kaii Thi Is Sitaron Ne, Sath Dene Ki , Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya.
|
|
|
Post by angel on Oct 5, 2006 17:13:58 GMT 10
v nice sohni....
Khuda se thoda raham khareed lete, Aap ke zakhmo ka marham khareed lete. Agar kahi bikti khushiya meri, To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete.
|
|
|
Post by Prince_Imran on Oct 6, 2006 4:40:19 GMT 10
Main sou jaan se ho jaon ga raazi her saza per.., Pahle woh hamain apna gunehgar tu kar lain....
|
|
|
Post by prettyss0 on Oct 6, 2006 18:54:05 GMT 10
V nice frnds Galib gi ka aik sher ap logon ki nazar ker dea tha sohni gi jab say un say salam dua hay kahnay lagay beti bus aik hi kafi hay .
|
|
|
Post by SupremeSohni on Oct 7, 2006 2:00:56 GMT 10
haan tu tum ne jis tarah ghalib ka kalam pesh kiya woh tu tarap hi uthay jab hi tu unhon ne kaha ke bas bahi bas ziyda shair nahi chef sahab
|
|
|
Post by SupremeSohni on Oct 7, 2006 2:01:34 GMT 10
|
|
|
Post by SupremeSohni on Oct 7, 2006 2:07:10 GMT 10
Koi gila, koi shikwa na rahe aapse, yeh aarzoo hai ki silsila rahe aapse, bas is baat ki badi umeed hai aapse, khafa na hona agar hum khafa rehein aapse
|
|