|
Post by SupremeSohni on Aug 22, 2006 1:19:43 GMT 10
[glow=yellow,2,300]Ho Sakay Too.........[/glow]
[glow=yellow,2,300]Ho sakay too bhool ja is bay vafa ko na yaad kar bar bar apni hi vafa ko aksar galat hotay hain yah piyar kay andaz choop chap sah ja ab in ki saza ko jo samnay dakh kar tumhain rahain badal latay hain daad diya kar too in ki is ada ko jis nay banya taray dil ko viraniyon ka ghar wo bhee tarsay ga umar bhar is jaga ko!!!! wo roay ga boohat tumhain yadd kar kay pachtay ga wo sangdil apni hi jafa ko.[/glow]
|
|
|
Post by SupremeSohni on Aug 22, 2006 1:20:44 GMT 10
Aas Barhaney Lagti Hai ...
khiza'n ki udaas subha mein sardion ki shaamon mein... Aas barhnay lagti hai un-kahay say jazbon ki piyaas barhanay lagti hai baykali udaasi si baychain kiyey rakhti hai kissi kay sath ki, Dil ko tamanna honay lagti hai yoonhi qadam say qadam mila kar... kissi kay sath chalnay ko kissi ka hath thamay... dheeray say, Dil ki baat karnay ko, apna yaqeen dilanay ko kissi ka yaqeen karnay ko kissi kay garam hathon ka... haseen sa lamas panay ko kissi ki mohabbat bhari ankhoon mein khud ko khoj laynay ko kissi ki narm muskurahat mein khud ko bhool janay koo... kissi ki mehekti khushboo mein yoon masroor honay ko kisi kay Dil mein khud ko dhondnay ko... jhaank laynay ko kisi ki ankhoon ki gehri jheel mein, Dil kay samander mein... yaqeen ki lahar pay aahista say... dheeray, dheeray say tamaam gahraaiyo'n ko... jaan laynay ko Mohabbat ki seep mein Apna... Ghar banaanay ko Wafa kay noor say roshan aik sacha mooti paanay ko kissi kay naam pay sadiyaa'n bitaanay ko kissi ki aas ka bin-baas lainay koo kissi kay saarey jazbay jaan laynay ko kissi ko saray jazbay soonp daynay ko kissi kay gird apna hisaar baandh daynay ko kissi kay saath ka paband honay ko... khawaahish honay lagti hai Tamanna barhnay lagti hai Sardiyo'n ki shaamon mein narm garm jazbon ki talab barhnay lagti hai aas barhnay lagti hai un-kahay jazbon ki piyaas barhanay lagtti hai
|
|
|
Post by SupremeSohni on Aug 22, 2006 1:21:17 GMT 10
Younhi Roya Nahin Kartey ...
Khabhi rootha nahin kartey Suno aisa nahin kartey
Jinhein paana na ho aasaan Unhein soocha nahin kartey
Jinhein shab bar tarapna ho Khabhi soya nahin kartey
Zara si baat pe suno Youhi roya nahin kartey
|
|
|
Post by SupremeSohni on Aug 22, 2006 1:21:51 GMT 10
Hum Nay Sooch Rakha Hai ...
Hum ney soch rakha hey chahey dil ki har khawaish zindagi ki aankhon se ashk ban key beh jaye chahey ab makeenon par ghar ki sari deewarain chat samait gir jain aur bey-mukaddar hum is badan key malbey mein khud hi kioon na dab jain tum se kuch nahin kehna
kaissi neend thi apni, kaissey khawab they apney aur ab gulabon par neend wali aankhon par naram-khu se khawab par kioon azab tootey hein tum se kuch nahin kehna
ghar gaye hein raaton mein bey-libas baton mein is tarhan ki raaton mein kab chiragh jaltey hein, kab azaab taltey hein ab to in azaabon se bach key bhi nikalney ka raasta nahin jana! jis tarhan tumhain sach key lazawal lamhon se wasta nahin jana! hum ney soch rakha hey tum se kuch nahin kehna
|
|
|
Post by zee on Aug 22, 2006 1:38:37 GMT 10
great poetry sohni
|
|
|
Post by angel on Aug 22, 2006 19:25:21 GMT 10
zabardast.
|
|
|
Post by nida on Aug 24, 2006 4:07:10 GMT 10
zabardast.
|
|
|
Post by prettyss0 on Aug 24, 2006 6:54:20 GMT 10
boht achay Sohni
|
|
|
Post by Prince_Imran on Aug 24, 2006 7:20:33 GMT 10
[shadow=red,left,300]Nice[/shadow]
|
|