Post by toweringniceguy on Aug 29, 2006 12:13:24 GMT 10
:: Mix Ashaar ::
By: Jumuna ali
hasrat hay tumhari deed karain
tum aao tu hum bhi eid karain
kuch roz tu dil ko chain milay
kuch roz tu maan ka phool khilay
kehtay hain eid ki aamad hay
hum log bhi tayed karain
tum aao tu hum bhi eid karain
tum say yeh ek guzarish hay
yeh apnay dil ki khuwaish hay
ek bar milo ek bar miloo
har bar yehi tayed karoo
tum aao tu hum eid karain
jab gum k badal chahye thay
is waqt bhi tum na aye thay
is bar bhi tum nahin aye
sab dushman yeh tanqed karain
tum aao tu hum eid kariain
mana k hum dewanay hain
sab batoon say anjanay hain
jab apnay hi bayganay hain
kya geroon say umeed karin
tum aao tu hum bhi eid kari
har pal tu khushyon main khilay
mahkain sada din raat teray
khud ko kabhi na tanha samjhna
mere dowa hay sath tere
ghazal son kar pareshan hogay kya
kisi k dehan main tum bhi kho gay kya
yeh beygangi pehlay tu na thee
kaho tum bhi kisi k hogay kya
karam karo k sitam karo hum gila nahin kartay
khiza main phool yaqenan khila nahin kartay
mila do khak main hum ko magar khiyal rahay
hum jasy loog dobara mila nahin kartay
is dil say tere yad bholai nahin jati
yeh pyar ki dolat hay lotai nahin jati
is dil say kesay tumhain bholaon main
har roz tu yeh dunya basai nahin jati
yeh zarori nahin par asa howa karta hay
jis ko chaho wahi dhoka diya karta hay
qasmain khata hay woh ehad nibhanay ki
or har moor pay rastay badal liya karta hay
kisi k dil ki baytabhi kisi k dil ki baychani
wahi mehsoos kartay hain jo khud baytab hotay hain
mujh say apna pyar kabhi wapas mat lena
mujh say yeh iqrar kabhi wapas mat lena
kehtay rehna har pal mujh ko main tumhara hoon
mujh say izhar kabhi wapas mat lena
ankhon ko roshan rekhna apni yadoon say
mujh say yeh dedar kabhi wapas mat lena
apnay hontoon ki tabasum salamat rekhna
hum rahin ya na rahain zinda yeh chahat rekhna
Log Kya Khoob Wafaow Ka Sila Detey Hai
Har Naye Morr Per Zakhm Ek Naya Detey Hai
Tujhe Se Tu Khair Ghari Bhar Ki Mulakaat Rahi
Loog Tu Sadiyoo Ki Rafakat Ko Bhula Detey Hai
Aagaaz ka wasoq na aanjam pee yaqeen
aisay katy howay hain kisi dastaan say hum
Are tum ghair ki baat karte ho?
hum ne apnoo ko aazmaya hai,
loog to kaantoon se khaar khaate hain,
hum ne phoolon se dhooka khaya hai.
Mujhe khabar hai wohi aik baat likh doon ga
Tumhare husan ko char chand likh doon ga
tumhari aankhen jo sharma kar kahen gi mujh se
tumhare honton pe wo dil ki baat likh doon ga
tumhain bitha ke apni aankhon ke saamne jaana
nikalte chand ki qismat main maat likh doon ga
isi umeed pe aaknhon main jankhta hoon main
kahin mile wo samandar jo mujh ko le doobe
har lafz ko kagaz pe utara nahin jata
har naam sare aam pukara nahin jata
Dil jeetne ke fun per ager dasteres na ho
dukhti ragon ko cherna danishweri nahin
Mohabat ke her jazbe se wo inkar karta hai
wo khud nafrat hai or nafrat ka karobar karta hai
ise agar mot piyari hai to mar kiun nahi jata
wo sare sehar ko jine se kiun bezar karta hai
Yeh baadal aur kuch nahi,
teri aankhon ki kaajal hain
Yeh bijli aur kuch nahi,
teri aaneki aahat hain
Yeh mausam aur kuch nahi,
teri aanchal ki khushboo hain
Is dil mein aur kuch nahi,
tujhe paane ki chaahat hai.
Takdir ke haathon mein lagam soump di hai tune,
andhere galiyare mein bhatakne ko chod diya hai tune,
par phir bhi ab is zindagi se koi gila nahi,
kyonki andhere mein bhi teri yaadon ko,
batorne ka faisla le liya hai humne.
Maine Khuda se ek dua maangi,
Dua mein apni mout maangi,
Khuda ne kaha mout to main tujhe de sakta hoon magar,
Uska kya karoon Jisne dua mein teri lambi umar maangi.
Laher aati hai kinaare se palat jaati hai,
yaad aati hai aur dil mein simat jaati hai,
laher aur yaad mein farq sirf itna hai ki,
laher bewaqt aur yaad har waqt aati hai.
Tapish suraj ki hoti hai,
jalna zameen ko padta hai
kasur ankhon ka hota hai,
tadpana dil ko padta hai.
Aansuon ko bahut samjhaya ki tanhayi mein aaya karo,
mehfil mein aaake humara mazaak na udaaya karo,
is par aansun tadap kar bole,
itne logon mein aapko tanha paate hain isliye chale aate hain.
Tez dhadkanoon ko sunkar bhi tumhe
pyar ki khabar nahi hoti.
Kya mehsoos karoge tum dil ka dard,
dil ke tutne ki to awaaz bhi nahi hoti.
Naa chaho kisi ko itna,
ki chahat tumari majburi ban jayee,
chaho kisi ko itna,
ki tumhara pyar uske le jaruri ho jaye.
Raat kya dhali, Sitare Chale Gaye.
Gairon se kiya Gila jab, Apne Chale Gaye
Jeet to sakte the Hum Ishq ki bazi
magar Tumhe jitane ke liye hum harte chale gaye.
Ik Din Baharon Ke Phool Murjha Jayenge,
Jab Bhoole Se Kabhi Hum Yaad Aayenge,
Ehsaas Hoga Tumhe Hamari Dosti Ka,
Jab Door Bahut Door Hum Tumse Chale Jayenge.
Kadam kadam pe hawaon se talukh rakhna,
dosti ke daur pe dosti ka aasra rakhna,
hamari yaadon ki khushboo jarur aayegi,
aap bas apne dil ka darwaja khula rakhna.
Tujhko Chaha bhi To Izhar Na Karna Aya
Kat Gai Umar,Humein Pyar Na Karna Aya.
Tumne kuch Manga Bhi To Judai Mangi
Aur Hum The Humein inkar bhi Na karna aya
Hasane ke baad kyun rulati hai duniya,
jaane ke baad kyun bhulati hai duniya.
Zindagi mein kya kuch kasar baaki thi
Jo marne ke baad jalati hai duniya.
Samja na koi dil ki baat ko,
Dard duniya ne bina soche hi de diya...
Seh gaye jo hum dard ko chupke se,
To humko he patthar dil keh diya.
Itna kuch khoya ki hume pana nahi aaya,
Pyar kiya to phir jatana nahi aaya...
Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein woh,
Kasoor unka nahi humara tha
jo unke dil me samana nahi aaya.
Dil main jo jasbaat hai woh aapki saugat hai,
Kaise kahun aapse mere dil mein jo baat hai,
Lafzon mein bayan karun ya aankhon se,
Darta hun kabhi kabhi apne iradon se,
Ho jati hai dhadkane meri tez,
Jab lete ho mera haath apne haton mein,
Kaise kahun aapse mere dil mein jo baat hai.
Hamne manga tha sath unka,
vo judai ka gum de gaye,
Hum unki yado ke sahare ji lete,
per vo hame bhul jane ki kasam da gaye.
Mere Dukhde ko aap Shayri samaj baite.
Mere Dukde ko aap Shayri samaj baite.
Arey takleef to tab hoti hai
Jab log waah waah kehte hai.
Kisi mod par hum aapko khone nahi denge,
Juda hona chaho to bhi hone naho denge.
Chandani rato me aayegi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aapko sone nahi denge.
Kaun kaheta he aapse hamari ladai hogi,
Yeh afwa kisi aur ne udai hogi.
Shaan se rahenge aapke dil me hum,
Itne dino me humne kuch to jagah banayi hogI.
Kabhi to ki hogi suraj ne chand se mahobbat,
Tabhi to chaand me daag hai.
Mumkin hai, chaand ne ki hogi bewafai,
Tabhi to suraj me itni aag hai !!!!!!!!
Wo dil hi kya jo tere milne ki dua na kare
main tujhko bhool kar zinda rahoon khuda na kare.
Rahega pyar tera saath mein zindagi bankar,
ye aur baat,meri zindagi wafa na kare.
Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata
isiliye ishq ki baazi hum haar gaye
Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha
Isiliye mujhe zinda hi maar gaye.
Kisi mor pe akela na chorna
armanon se bhara dil kabhi na todna
duniya begani banti hai to kya gham hai
Tamanna ye hai ke bas aap humse muh kabhi na modna
Bahon me le lo mujhko
K tanha hoon main.
Dhadkan me basa lo mujhko
K tanha hoon main.
Tum nahi jo
Jahan mein kuch bhi nahi,
Mujh me sama jao
k tanha hoon main.
Phool ki tarah haste raho
To hum khush hain.
Dil kholkar jiya karo
To hum khush hain.
Ye nahi kehte k hame mila karo,
Bas roz yaad kar liya karo
To hum khush hain.
Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi aur bahata bhi nahi.
Is kadar akele hain raahon me dil ki,
Koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi.
Kal raat khuda ne poocha,
'Tu dosti me itna kyu khoya hai?'
Tab andar se awaaz aayi,
'Doston ne hi di hain khushiyan,
Pyaar karke to hamesha ye dil roya hai'
Log kehte hain ladkiyan
zindagi hoti hain maut nahi.
Magar wo ye kyun bhool jate hain
K dhoka bhi zindagi deti hai,maut nahi.
Kya pata kab wo mukam aa jaye,
zindagi ki aakhri sham aa jaye.
Hum to un lamhon ko khojte hain,
Jab ye zindagi aapke kaam aa jaye.
Rukay Rukay Se Qadam, Ruk Ke Baar Baar Chaley
Qaraar De Kar Tere Dar Se Be-Qaraar Chaley
Subha na Aaye Kai Baar Neend Se Jaagay
Thi Ek Raat Ki Zindagi Guzaar Chaley
Uthaaye Phirtey Hain Ehsaas Dil ka Seenay main
Ley Tere Qadmo per Yeh Karz Bhi Utaar Chaley
Qudrat Ke Karshimo Main Agar Raat Na Hoti
Tu Khuwaabo main Un se Phir Mulaqaat Na hoti
Kambakht Yeh Dil Hi Her Ghum ki Wajha hai
Yeh Dil Na Hota to Koi Baat hi Na hoti
Laakh Dastak hoi meray zeest kay sahraa main magher..
dil ka darwaza na teray baad kholaa hum nay...