|
Gazal
Sept 14, 2006 12:10:13 GMT 10
Post by toweringniceguy on Sept 14, 2006 12:10:13 GMT 10
Usse Apne Farda Ki Fikaar Thii.... Usse apne farda ki fikar thii woh jo mera waqif-e-haal tha woh jo us ki subah urooj thii wohi mera waqt-e-zawal tha Meri baat woh kaise manta mera dard woh kaise janta woh to khud fana k safar mein tha usse rokna mahal tha Damm-e-wapsi usse kya hua na woh roshni na woh tazzgi woh sitarah akele hi bikhar gaya woh aap apni missaal tha Woh millaa to sadiyon baad bhi mere lub pe koi gila na tha usse meri chup ne rula diya jisse guftugu mein kamal tha Woh jo samne is k agaya wohi roshni mein naha gya ajab ki haybat husun thii ajab us ka rang-o-jamal tha Kahan jao gay mujhe chor kar mein ye pooch pooch k thak gye woh jawab mujh ko na de saka woh to khud sarap-e-sawal tha Mere sath woh lag k roya mujhe bus itna hi keh saka jisse janta tha mein zindagi woh to sirf vehm-o-khayal tha
|
|
|
Gazal
Sept 14, 2006 15:58:04 GMT 10
Post by nida on Sept 14, 2006 15:58:04 GMT 10
very touching
|
|
|
Gazal
Sept 14, 2006 16:59:10 GMT 10
Post by captain on Sept 14, 2006 16:59:10 GMT 10
|
|
|
Gazal
Sept 14, 2006 18:58:46 GMT 10
Post by prettyss0 on Sept 14, 2006 18:58:46 GMT 10
Zabardust
|
|
|
Gazal
Sept 14, 2006 19:20:11 GMT 10
Post by SupremeSohni on Sept 14, 2006 19:20:11 GMT 10
very nice
|
|
|
Gazal
Sept 16, 2006 6:10:17 GMT 10
Post by Prince_Imran on Sept 16, 2006 6:10:17 GMT 10
Very Nice
|
|