|
Post by SupremeSohni on Sept 18, 2006 1:43:51 GMT 10
[glow=blue,2,300]Itne door mat jana[/glow]
Laut kar aana bhi bhool jao, itne door nahin jana Chah kar bhi na laut pao, itne door nahin jana
Ye fasley har rabta bhi phir tor dain Mere bad tum mujhe bolao, itne door nahin jana
Tumhari har baat pe hai dil ko aitbaar Zaroorat pare ke yaqeen dilao,itne door nahin jana
Waqt ke saath har umeed hi mar jaye Ye bhi ke tum wapis aao,itne door nahin jana
Kuch na baqi rahe phir humare darmiyan Har yaad ko tum bhulao,itne door nahi jana
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 18, 2006 1:45:15 GMT 10
[glow=yellow,2,300]Us Larki K Naam ..........
Zindagi Ki Khawahish Main Ek Benaam Si Manzil Par, Chalti Huey Yeh Larkian Kya Janain Yeh Raasta Unhain Kahan Tak Lay Jai Ga Waqt Ka Pahiya Jab Achanak Beraham Ho Jai Ga Wafa Ka Waada Karnay Wala Bewafa Keh Laai Ga Chahat Ka Daawa Karnay Wala, Tum Ko Qasoorwaar Thehray Ga Tab Khulay Gi Ek Haqeeqat Yeh Duniya Mardoon Ki Hai Raaj Chalta Hai Chaar Soo Inka Qoum Humari Hai Bebus Dekho Tu Larki, Ghoor Karo Tum Hi Kyon Majboor Bano, Zalimoon K Zulm Saho, Kyon Tum Nay Banayea Khud Ko Beqas, Laachar,Majboor Aur Bebas, Kyon Ansoon Hain Taqdeer Tumhari, Kyon Khushiyaan Tum Say Rooth Gai Hain Kyon Auraat Hi Wafa Ki Dewi, Kyon Is K Zimmay Hai Qurbani, Shayad.... Barsoon Say Aisa Hi Hota Aya Hai, Sadiyoon Tak Aisa Hi Hota Jai Ga, Ek Na Ek Din Har Jhoota Bharam Toot Hi Jai Ga, Haath Pakar Kar Chalnay Wala Jab Dhooka Day jai Ga, Yeh Rasta Sirf Aur Sirf Maut Tak Lay Jai Ga, Phir Tum Socho Gi, Ghabrao Gi, Ro Lo Gi, Pachtao Gi, Suno Larki....., Gar Tum Bachna Chahti Ho, Zinda Rehna Chahti Ho, Apnay Qadam Wapis Lay Lo, Ab Bhi Waqt Hai Lout Aaoo, Lout Aaoo Tum Lout Aaoo........[/glow]
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 18, 2006 1:46:24 GMT 10
~Yadoon Ki Mehak~
teri yadoon ki mehak, sath liye akser hum ,
door khuwaboo k jazeeray main uter jatey hain, kyun k main janta hon, hum aur tum sirf khuwaboo main he mil saktey hain, mainay socha hai is baar tumharay humraah,
aik aisi jaga utroonga, aur tumhain apnay paas bitha ker, aankho main aakhain daal ker, bari himmat ker k tum say keh donga, tumsay keh donga k tum meri ho
tum jo chahho to, meri yakterfa muhabbat ko sahara dey do, zindagi yun to bahut thori hai muhabbat k liye tum jitna bhi piyaar mujhay dey sako sara dey do,
kuch to bolo, kuch to bolo
kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian laut jain bus yehi chund khiyalaat liye teri yadoon ki mehak sath liye
akser hum door khuwaboo k jazeray main uter jatey hian kyun k hum aur tum sirf khuwaboo main he mil saktey hain
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 18, 2006 1:47:00 GMT 10
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka
kuch laug zindagi main aise bhi aaye hain jin ko kisi bhi lamhe bhulayea na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 18, 2006 1:47:55 GMT 10
main aaj khoob royea
khud ko chup kera k main aaj khoob royea puraani yaadon ko gunguna k main aaj khoob royea
tanhai k gham se nadhaal ho ker teri tasweer gale laga k main aaj khooob royea
ghairon ne jo jo kia sab kuch bhula dia apnon ko aazma k main aaj khoob royea
ab yaad aayea in ka sar aankhon par rakhna jin se ruswa hoke main aaj khub royea
hum kahan is qabil k woh mulaqat keren khwahishon ko daba daba k main aaj khoob roye.
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 18, 2006 1:48:28 GMT 10
kis se maange bhala hum chaar pal khoshi ka kis se maange bhla hum chaar pal khoshi ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka ab tu lagta hai matlab hi na raha zindagi ka
waqt hum se kahe gayea tha ke koi nahi hota kisi ka jo mere zakhmo pe ayea tha muskorane aaj
hai sabab wahi meri is badnasibi ka sonate thay jise bhi ghum ka fasana apna samajhke
wo udata tha mazaak logo main meri her nami ka jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka
loot gaye hum tu tere waste aur tujhe pata bhi na chala teri aarzo ne ayesa lota ke hame na rakha kahi ka
layi thi lafzo ki haqeet kawal apni gazal main padh ke esko bhi sunata tha koi haal meri zindagi ka
kis se maange bhala hum chaar pal khoshi ka jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka.
|
|
|
Post by zee on Sept 18, 2006 5:07:36 GMT 10
very nice collections
|
|
|
Post by angel on Sept 18, 2006 7:12:05 GMT 10
CoOOool...
|
|