|
Post by SupremeSohni on Sept 23, 2006 1:25:56 GMT 10
[glow=yellow,2,300]Un Ko Rodad Gham-E-Ishq Sunai Na Gai, Aisi Kuch Bigari K Phir Baat Banai Na Gai
Hum Nay Kia Un Say Raho Rasm-E-Mohabbat Karli, Dil Main Kuch Aisi Lagi Agh Bojha Na Gai
Jal Gaya Shama Pay Parwana Magar Lab Na Hilay, Raz Ki Baat Thi Gheroon Ko Sunai Na Gai
Hum Nay Ki Un Say Wafa Un Ki Jafa K Badlay, Dil Ki Duniya Bhi Magar Un Say Basai Na Gai.[/glow]
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 23, 2006 1:27:09 GMT 10
Itni muddat bad mili ho,kin sochoon mein guum phirti ho itni khaaef kion rehte ho, har aahat say darr jati ho
tez hawa nay poocha mujh say, rait pay kiya likhte rehte ho kaash koi hum say yeh bhi poochay, raat bhar tak kion jagtey ho
Kaisay kahoon main akaila hun tujh bin aay dost meray saaya ban kar sath meray, har pal tum to rehti ho.
Main dariyaa say darrta hun, tum dariyaa say bhi gehri ho koun se baat hai tum mein aisi, itnay achi kion lagti ho.
Meray jazboon say kabhi, kabhi meray khiyalon say ulajhti ho kehnay ko rehti ho dil mein, phir bhi kitney doore rehti ho.
Dharrakta hai dil mera bas abb teray hi naam par JAAN MERI! tum meray dil mein dharrkan ban kar rehti ho.
Hum say na poocho hijar kay qissay, apni kaho tum kaisi ho tum ziddi bahot ho, jaisi ho, phir bhi achi lagti ho
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 23, 2006 1:27:57 GMT 10
Khamooshi main shoor tha manay suna kuch bhi nahi, Uss nay sab kuch dea lekin kaha kuch bhi nahi,
Tujh ko kia maloom ae-jane-jahan teray baghair, Mera jewan katgaya aur main jea kuch bhi nahi,
Hukum hum ko mila uss kay siwa kuch mangiay, Uthgayee dast-e-daalib per dua kuch bhi nahi,
Teri khatir umar bhar ka rat jaga ham ko qabool, Chahatoon main aik shab ka jagna kuch bhi nahi.
main kesy ginwaoon mohabtein uss ki mujhy kitni par gei hein aadtein uss ki
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 23, 2006 1:28:21 GMT 10
Kyun pyaar us par hi aata hai, Jo mil kar bhi naa mil pata hai. Kaise yeh usse batayein hum, Tujh bin rah na paayein hum.
Kyun baar baar woh satata hai - Kuwaabon main aakar rulata hai? Bhulanaa us ko chahein hum, Par kis tarah bhulaayein hum?
Woh mann main har dum rahta hai, Dharkan ki tarah dharkta hai. Hain issi ehsaas se zindaa hum, Hain ek-duje ke dil o jaan hum.
Ek duje ke dil main rahte hain - Kya pyaar issi ko kahte hain?
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 23, 2006 1:29:25 GMT 10
Mayree wafa ka is nay kuch yoon sila diya hai Manzil bih mujh say cheeni rasta mita diya hai
Sab Moatbar rishtay nazdeek ho gay thay mayray Aik aik ker kay is nay sab ko hata diya hai
Is zindigi ko paa ker gum sum sa ho gaya hoon main In hadso nay mujhe pather sa bana diya hai
sabaer mujh per khatam hua or sitam us per tamaam khoshiyo ki khahesho ko khud he daba diya hai
Hasil-e-zeest jisay samjha woh dushman nikla Khashesho kay tasalsal say perda sa utha diya hai
|
|
|
Post by zee on Sept 23, 2006 3:23:14 GMT 10
very nice selection
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 23, 2006 7:57:24 GMT 10
good collection
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 23, 2006 23:40:21 GMT 10
thanks
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 26, 2006 4:00:29 GMT 10
Very Nice
|
|