|
Sitara
Sept 23, 2006 13:07:10 GMT 10
Post by toweringniceguy on Sept 23, 2006 13:07:10 GMT 10
Sitara dhondna hai
Sitaron se bhare is aasman ki wasaatom men
Mujhay apna stara dhondna hai
Falak par kehkashan dar kehkashan ik bay karani hai
Na us ka naam hai maloom na koi nishani hai
Bas itna yaad hai mijhko
azal ki subhah jab saaray sitare alwidai guftugu karte hue raston pe nikle the
Tu us ki aankh men ik aur taara jhilmilaaya tha
Ussi taaray ki soorat ka
Meri bheegi hoi aankhon men bhi ik khwaab rehta hai
Main apne ansoon men apne khwaabon ko sajata hon
Aur us ki raah takta hon
kiyon ki
Mujhay apna sitaara dhondna hai !
|
|
|
Sitara
Sept 23, 2006 13:08:00 GMT 10
Post by toweringniceguy on Sept 23, 2006 13:08:00 GMT 10
Safar Mein Shab Bhi Aani Hai Safar mein shab bhi aani hai sitara bhi nahi rehna Samander mein parindo ka ishara bhi nahi rehna Mohabbat mein dilo ka khail aisay hi to hota hai Hamara bhi nahi rehna tumhara bhi nahi rehna Ajab be ma-i-gi hai zindagi ki be sebati ki Kinare per kharay hain or kinara bhi nahi rehna Judai pal mein le aye gi ek selab aankho mein Nigahein doob jayengi nazara nahi bhi rehna Kisi din cheen le jaye ga koi khuwab bhi mujh se Meri tanhaye ka wahid sahara bhi nahi rehna
|
|
|
Sitara
Sept 23, 2006 17:13:37 GMT 10
Post by captain on Sept 23, 2006 17:13:37 GMT 10
|
|
|
Sitara
Sept 23, 2006 18:20:30 GMT 10
Post by prettyss0 on Sept 23, 2006 18:20:30 GMT 10
nice collection
|
|
|
Sitara
Sept 24, 2006 1:16:19 GMT 10
Post by SupremeSohni on Sept 24, 2006 1:16:19 GMT 10
nice
|
|
|
Sitara
Sept 26, 2006 3:59:16 GMT 10
Post by Prince_Imran on Sept 26, 2006 3:59:16 GMT 10
Very Nice
|
|