|
Post by SupremeSohni on Sept 30, 2006 13:05:09 GMT 10
koi nahy hamaray saath is tanhaiey main kam hoty nahy doriyaan is judaaye main
sirf hum hi kyun is saza k hakdaar hain akelay hum kasorwaar nahy is harjaye main
kitnaa ahista hogaya hai yeh ek ek lamha kitni soony parh gaye hai zindagi hamary
kitna beronak or khamosh sa hai yeh sama sun sako to suno awaz darkhanon ke hamary
juda ho k tujh say main reh nahy sakta yeh main tum ko kabhy keh bhi nahy sakta
beh ta hai tu hamaray lahoo main hardum chah kar bhi tujh ko main mita nahy sakta
koi is dil main agar rehnay ata hai to najany woh isko kyun chor jata hai
to kya hua jo dil mera itna nazuk hai khilona samajh kar isay kyun torjata hai
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 30, 2006 13:06:27 GMT 10
Ager Kal
Sar jukaogay to, pathar devta ho jayega, Itna mat chaho usay, woh be-wafa ho jayega
Hum bhi dariya hain hamein, apna hunar maaloom hain, Jis taraf bhi chal padangay, raasta ho jayega
Main khuda ka naam lay kar, pee raha hoon doston, Zahar bhi ismay agar, hoga dava ho jayega
Rooth jana to mohabbat kee, alamat hai magar, Kya khabar thi mujh say woh, itna khafa ho jayega
Sar jukaogay to pathar devta ho jayega, Itna mat chaho usay woh be-wafa ho jayega
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 30, 2006 13:07:20 GMT 10
chaandinee raaton men Chaandinee raaton men jab bhee yaad unkee aayegee Zindagee kee raaginee taaron ke sang hee gaayegee
Vaadiyaan khaamosh hain par hain nazaare jhoomte Baadalon kee oT me bijilee kaheen chhip jaayegee
Bezubaan dil kah neheen saktaa ye apnee daastaan Baat jo ye kah na paayaa door tak vo jaayegee
DhaDkano ne saaz chheDaa ye hawaa gaane lagee kyaa puraane geet hee ye chaandinee dohraayegee
Chhip gaye hain vo kaheen kyaa aaj hamse roothkar Aansuon men bhee kaheen soorat nazar to aayegee
Muddatten beetee unhen ab khwaab men dekhe hue Kyaa kabhee unko bhee meree yaad ik din aayegee
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 30, 2006 13:08:15 GMT 10
Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain.. Gam ke saaye saaTh me laaTe hain.. Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana.. Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...
Apni duniya ko aaj bhi khwaabon se sajaaTe hain.. Aankh khulTe hi yeh sab bhi TooT jaaTe hain.. JaanTe hain na sach hoga abhi koi sapna humara.. Phir bhi aankhon me woh sunehre sapne sajaaTe hain...
Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain.. EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain.. Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko.. Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana.. Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 30, 2006 13:09:07 GMT 10
KABHI PALKON PAR AANSU HIAN
kabhi palkon pe aanson hain kabhi lab pe shikayeat hai magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai jo aata hai woh jaata hai yeh duniya aani jaani yahan har sheh musafir hai safar main zindagaani hai ujaalo ki zaroorat hai andhera meri kismat hai kabhi palkon pe aanson hain kabhi lab pe shikayeat hai magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai zara aye zindagi dam le tera deedar to ker lon kabhi dekha nai jis ko usse main pyar to ker lon abhi se chhor k mat ja abhi teri zaroorat hai kabhi palkon pe aanson hain kabhi lab pe shikayeat hai magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai koi anjaan sa chehra utarta hai fizaon main yeh kis ki ahatten jaagi meri khamosh rahon main abhi aye maut maut mat aana mera wirana jungal hai kabhi palkon pe aanson hain kabhi lab pe shikayeat hai magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai x________x__ ______x
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 30, 2006 13:10:21 GMT 10
Tum agar saath hote Ye tanhaayian na hoti Hume duniya mein ye Ruswaayian na hoti.
Agar hum haath thaame Saath saath chalte rahte Zindagi ki rahon mein ye Dushwaariyan na hoti.
Manzil ki khoj mein Humsafar tum agar hote Rahon mein kanto ki bhi Hume koi shikaayat na hoti.
Din ke har ek lamha Beete tumhare pehloo mein Baithe kabhi saagar kinaare Lahron se taal milaaye.
Pedon ki jhurmut mein Titliyon se daud lagaaye Chandni raaton mein Taaron se aankh milaaye
Pure hote Khwaab ye saare Tum agar hote saath humaare Tum agar hote paas humaare Tum agar hote saath humaare...
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 30, 2006 13:11:35 GMT 10
Jis din se tum ko dekha hai Main aksar socha karti hoon Tum kaise ho tum kaise ho Tum Phool ho ya Qos -o- Qazah Tum Chaand sitaron jaise ho Tum ujli Dhoop ho Sarma ki Ya Rim Jhim ka mausam ho Tum kaise ho tum kaise ho Kal raat main bilkul tanha thi Kal raat yeh mujh per bhaid khula Main Jaan gayi main Maan gayi Tum kaise ho tum kaise ho Tum mere Dil main Rehte ho Tum Bilkullllll mere jaise ho
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 30, 2006 13:14:05 GMT 10
Eik Paagal Ka Usey Salaam Kehna Jaane Waalo! US Ke DES Mein Jao Agar To Is Paagal Ka Usey Yeh Paighaam Dena Yaad Mein Us Ki Guzarte Hain Sub-0-Shaam Kehna Zindagi Ka Markaz, Soch Ki Mehwar Woh Hee Hai Dil Usi Ka, Zindagi Bhi Hai Us Ke Naam Kehna Deewaron Pe Us Ka Naam Na Likhne Ki Wajah Batana Qalam Aur Haath Ke Beech Tha Us Ka Aehtaraam Kehna Jaane Waalon! Agar Yeh Kehne Ka Waqt Na Mile To Faqat
Eik Paagal Ka Usey Salaam Kehna
------------ --------- --------- --------- --------- --------- ------
|
|
|
Post by zee on Oct 1, 2006 3:20:05 GMT 10
very nice collection
|
|
|
Post by prettyss0 on Oct 1, 2006 19:21:12 GMT 10
goody good
|
|
|
Post by angel on Oct 3, 2006 17:27:00 GMT 10
ek dam zabardust
|
|
|
Post by Prince_Imran on Oct 4, 2006 5:35:56 GMT 10
Gr8
|
|
|
Post by SupremeSohni on Oct 5, 2006 4:53:53 GMT 10
IJAZAT DEY DOO Khud Ko Is Dil Main Basane Ki Ijazat Day Do Mujh Ko Tum Apna Bananay Ki Ijazat Day Do
Tum Meri Zindagi Ka Ek Haseen Lamha Ho Phoolon Say Khud Ko Sajanay Ki Ijazat Day Do
Main Kitna Chahta Hoon Kis Tarha Bataoon Tumhain Mujhay Yeh Aaj Batanay Ki Ijazat Day Do
Tumhari Raat Si Zulfon Main Chand Sa Chehra Mujhay Yeh Sham Sajanay Ki Ijazat Day Do
Mujhay Qaid Kar Lo Apnay Ishq Main Yeh Jaan Tum Pe Lutanay Ki Ijazat Day Do
Nahi Hai Shauk Us Ko Bhoolnay Ka Mager Mujhay Yeh Duniya Bhoolanay Ki Ijazat Day Do
|
|
|
Post by SupremeSohni on Oct 5, 2006 4:54:22 GMT 10
Shishe ke aaine main dekhti hai woh khamosh naazre. Ghunghat main chehra chupaai hue. Aankhon main kajal sajaye hue. Chorrl ke apna ghar aangan . Chali ayee dulhun ek naaii duniya bassane. HoGaye parai jahan bitha apna bachpan. Aur jawani ki hassen raahein. Aapna Na hai who sansaar. Jis main bana Ni hai naahi kahaani. Mathe ki bindiya kuch kehti hai us se. Haatho ki kangan khankati hai. Jaise kehte hai rukh JA ree saaki.. Na chor woh raahein. Jis me khela tera bachpan. Choorl ke apna ghar aangan. Chali ayye dulhan ek naahi duniya bassane. Laal jhode main saji hai aise aankhon main ek sapna leke. Dil main jagi hai aisi umag.
|
|
|
Post by angel on Oct 5, 2006 16:46:39 GMT 10
gr8......
|
|