|
Post by SupremeSohni on Oct 27, 2006 16:26:29 GMT 10
Manzilain bhi uski thi, Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha,Kafila bhi uska tha.. Sath-Sath chalne ki soch bhi uski thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyun akela hoon,Dil sawal karta hai,
Log to uske the,Kya KHUDA bhi uska tha....?
Aankhon se Tootte hai sitaare to kya huwa Chalte nahi wo saath hamare to kya huwa
Toofaan ki zad mein azm mere saath saath tha Kashti ko mil sake na kanare to kya huwa
Tanhayion ne mujh ko gale se laga liya Wo ban sake na Dilse hamare to kya huwa
Sau hausle hamare qadam choomte rahe Kuchh be sukoon raat guzare to kya huwa
Manzil bhi, kaarwan bhi, musafir bhi khud raha Saathi bane na Hamare chaand sitaare tho kya huwa....?
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
anhaiyon ki aag main hum jal gaye magar faasla ana ka mitaya na jaa saka.. kya kare
|
|
|
Post by zee on Oct 28, 2006 0:59:19 GMT 10
|
|
|
Post by prettyss0 on Oct 28, 2006 23:29:26 GMT 10
nice
|
|