|
Post by SupremeSohni on Nov 23, 2006 3:26:27 GMT 10
[glow=yellow,2,300]Aik Larki kia kuch kar sakti hai
mein shehr-e-wafa ki shahzadi
mein shehr-e-jafa ki taj nasheen
mein her khuwab ta'beer keroon
mein zulm sahon,mein zulm keron
zulm kertey huye mein thakti nahi
zulm sehtey sehtey thak jaaon
mein nafrat ka ik shau'la hoon
aur pyar ki dewi mein hi hoon
mein nafrat mein sab jhulsa doon
aur pyar mein sab kuch pighla doon
mein doshi hoon nir dosh bhi hoon
kuch thori si mad hosh bhi hoon
kisi rooh ka qara hoon main
kahin bin maanga azab hun main
tum jaantay ho k kon hoon main??
main ik ma'soom si lerki hoon[/glow]
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 23, 2006 3:28:48 GMT 10
Aik Koshish choti si........ Mein mohabbat k sabhi taqazay nibhanay janti hoon Mager tairee safakiyan bhi zamanay, janti hoon
Uss k hansanay say dil ki dunya bhi mehak utthay Aor uss k gham bhi hans ker utthanay, janti hoon
Nafrat ki aakhri had ko bhi choo sakti hoon mein Chaho to chahat k phool mehkanay, janti hoon
Mujhey maloom hai sab,kia hai khaboon ki haqeeqat yahan Jo kho gay hain meree aankhoon k sapnay suhanay, janti hoon
Uss ki rahoon k sab khar apni palkoon say chunoon Uss k aanay ki khushi main phool barsanay, janti hoon
Phir say ek wada kia tha aanay ka aor tod biatha hai Aab kia hoon gay uss pashema'n k bahanay ,janti hoon
Koi mairee nigahoon say phar na sakay meray dil ka haal Mein dard dil k dunya say chupana ,janti hoon
Phir sham dhal rahi hai so jaa aab tu ............ ......... ... Werna aa jaey gi yaad uss ki tujhay rulanay ,janti hoon[/size]
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 23, 2006 3:31:36 GMT 10
aap ka liya muskan Meri zindgi mein kisi k pyaar ki kami si rahi, Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Har koi mila mujhse,Par wo apnapan naa mila, Bhari mehfilo mein bhi hamein tanhai si lagi, Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Ishe kahu apni kismat ya waqt ka fair kahu, Dushmano ki to kya,Dosto ki nigaah mein tavjjo naa rahi, Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Raha tha jo kabhi mere dil mein jaan bankar, Usko hi meri surat ab anjaani si lagi, Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Jiski talaash mein bhatakta fira har jagah, Wo khushiya humse hardum roothi si rahi, Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Meri zindgi mein kisi k pyaar ki kami si rahi, Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.[/size][/color]
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 23, 2006 3:33:53 GMT 10
Mohabbat ki Baat Mohabbat ki baat thee na nafrat ki baat thee marnay challay thay jis pay saddaqat ki baat thee
aafaq say milla jahan ghamm ka silsala zikar aap ka na tha meri halat ki baat thee
un key batoon main tha zahar saa kion ghulla lay lo qasam jo lab pey shakiat key koi baat thee
ek kanta sa dill main chubbaha oor chubbah kay reh gia zahamat kisi ko detay nadamat key baat thee [/size][/color]
|
|
|
Post by zee on Nov 23, 2006 4:13:08 GMT 10
very nice poetry collections
|
|
|
Post by captain on Nov 24, 2006 2:14:27 GMT 10
|
|
|
Post by prettyss0 on Nov 24, 2006 6:45:24 GMT 10
v nice collection Sohni
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 24, 2006 16:56:33 GMT 10
Thanks All
|
|
|
Post by Lovely on Dec 7, 2006 6:33:56 GMT 10
Very Nice
|
|