|
Post by SupremeSohni on Nov 24, 2006 17:02:14 GMT 10
[glow=red,2,300]yeh ghazal us dil ki awaz hai jise kabhi khushi meysar na huwi .
ek dard ka izhar hai yeh Ghazal,umeed hai aap ko pasand ayengi
aur aap hosla afzai karange.
Ashqok ka ankhon main basera hai
dil main chha gaya phir ek andhera hai
mushkil se militi hai khushi magar
har khushi pe gham ka pehra hai
Asmano ko chuna jab bhi chaha
Parwaz par laga zamane ka pehra hai
nind aankhon main nahin,bechaniya hai
jagii raaton ko sitaron ka sahara hai
baharon ko dekhe bhi to kaise
har taraf to barbadiyon ka nazaraa hai
gham ke fasane kahe kiss se
izhaar e dard ko shayari ka asra hai
Ashqok ka ankhon main basera hai
dil main chha gaya phir ek andhera hai[/glow]
|
|
|
Post by zee on Nov 25, 2006 1:10:07 GMT 10
touching
|
|
|
Post by prettyss0 on Nov 25, 2006 7:28:31 GMT 10
nice
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 26, 2006 16:04:22 GMT 10
thx
|
|
|
Post by angel on Nov 29, 2006 5:58:37 GMT 10
nice one
|
|
|
Post by Lovely on Dec 7, 2006 6:41:10 GMT 10
Very Nice Lovely
|
|