|
Post by angel on Apr 8, 2007 3:51:07 GMT 10
nice collection deadly....v.nice
|
|
|
Post by angel on Apr 8, 2007 3:55:12 GMT 10
Aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo…. ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo… log muthhi meiN namak le ke phira kerte haiN…. zakhm tum apne kisi ko bhi dikhaya na karo… saaNp KHushbu ke ahaate meiN basa kerte haiN…. phool ke peRoN ko aangan meiN lagaya na karo… haathh aaye usi lumhe ko GHaneemat jano…. apni palkoN pe koi KHwab sajaaya na karo… yaas ki tapti hui ret meiN jalne do mujhe…. aas ke badlo sir pe mere aaya na karo… aaj ke daur ka paigham yahi hai taalib… koi gir jaaye to bhoole se uthhaya na karo
|
|
|
Post by Raja on Apr 9, 2007 4:14:35 GMT 10
Very Nice Angel
|
|
|
Post by Prince_Imran on Apr 10, 2007 5:11:39 GMT 10
Very Nice frnds
|
|
|
Post by Raja on Apr 10, 2007 5:44:28 GMT 10
Very Nice Frnds
|
|
|
Post by deadly on Apr 10, 2007 16:52:36 GMT 10
Thankz Angel
|
|
|
Post by deadly on Apr 10, 2007 16:54:32 GMT 10
Meiree Roooh Jaisay KuochaL Gaya Koi Shaks Aisay BadeL Gaya......
Yeh Kiss Ka Harf-e-Dua Raha K Mein Girtay Girtay SambhaL Gaya
Teiree Yaad Jab Aaney Lagi Meiraa Dard Jaisay BeihaL Gaya
Meiree Qismatoon Ka QafiLa.... Kissi Aur Janib NiK@L Gaya....
Tumhein Deikhtay Hi Bey Sabab Koi Khuwaab Meiraa MachaL Gaya
Woh Meiray DiL Ki KaLi KaLi Koi Kaarwaan Tha, MasaL Gaya
Meiraa Patharoon Sa Ghuroor Tha Mager Teiray Aagey PighaL Geya..
|
|
|
Post by deadly on Apr 10, 2007 16:56:30 GMT 10
aaye na bhale tumhe yaad hamari, hum hamesha karenge fariyaad tumhari, bewafa the wo, hum na kahenge kisi se, kahenge ki shayad kami thi wafa me hamari...
|
|
|
Post by deadly on Apr 11, 2007 14:03:11 GMT 10
saans lenay se b teri yaad ati hai,
saans na lon to meri jaan jati hai,
kaise kah don k tum sanson se juda ho,
her saans se pehle teri yaad ati hai..
|
|
|
Post by SupremeSohni on Apr 11, 2007 14:20:00 GMT 10
zabar10 deadly
|
|
|
Post by SupremeSohni on Apr 11, 2007 14:20:40 GMT 10
Bura Maan Gaye Nazron se Nazrein mili to Bura Maan gaye Hum ne Aankhon se Ishara kya to Bura Maan gaye
Baat Baat per Muskurana Unki Aadat thi, Zara sa Hum ne jo Hansaya to Bura Maan gaye
Hamein Aazmane ki Baat karte they Aksar, Jab Hum ne Aazmaya to Bura Maan gaye
Pyaar mai Be-Wafai na karna Wo Kehte they, Isi Baat ko Hum ne Dohraya to Bura Maan gaye
|
|
|
Post by deadly on Apr 11, 2007 14:22:48 GMT 10
thankz sohni ...
& kool collection 2
|
|
|
Post by deadly on Apr 11, 2007 14:25:42 GMT 10
Chehre pe khushi chah jati hai ankhon mein suroor aajata hai Jab tum MuJhe apna kehte Ho apne pe guroor Aajata hai Tum husn ki khud ek dunya Ho, shayad yeh tumhain maloom nahi Mehfil Mein Tumhare Aane Se , Har Chiz Pe NooR Aajata Hai
Hum pass se tum ko kiya dekhen JaB TuM MukaBiL HotE HO BetaaB NigHaooN Ke AaGe , Parda sa Zaroor Aajata Hai
Jab Tumse MohabbaT ki Humne Tab jake kahin yeh raaz khula Marne ka Saliqa Aata hi nahi Jeene ka Shaoor Aajata Ha..
|
|
|
Post by Prince_Imran on Apr 12, 2007 4:35:33 GMT 10
Sohni and deadly gr8 poetry zabardast
|
|
|
Post by Raja on Apr 12, 2007 5:19:11 GMT 10
Very Nice
|
|
|
Post by angel on Apr 12, 2007 5:51:01 GMT 10
Tum Chali Jao Gi
Tum Chali Jao Gi Parchaiyan Reh Jain Gi Kuch Na Kuch Husan Ki Ranaiyan Reh Jain Gi
Tum Tu iss Jheel Ke Sahil Pay Mili Ho Muj Ko Jab Bhi Dehkon Ga Yahan Muj Ko Nazar Ao Gi
Yaad Metti Hai Na Manzar Koi Mit Sakta Hai Door Jakar Bhi Tum Apne Ko Yahan Paoo Gi
Khol Kay Reh Jaye Gi Jonkho Main Badan Ki Khushbo Zulf Ka Ask Ghataon Main Rahay Ga Sadyon
Phool Chopke Say Chara lain Gay Labon Ki Surkhi Yeh Jawan Husan Fezawon Main Rahay Ga Sadyon
Iss Darakti Howi Shadab , Haseen Waadi Mein Yeh Na Samjo Ke Zara Dair Ka Qisaa Ho Tum Ab Humensha Kay Liye Mere Mokadar Ki Tarha In Nazaron Kay Mokadar Ka Bhi Hesaa Ho Tum
Tum Chali Jao Gi Parchaiyan Reh Jain Gi Kuch Na Kuch Husan Ki Ranaiyan Reh Jain Gi
|
|
|
Post by prettyss0 on Apr 12, 2007 7:39:16 GMT 10
v nice frnds Deadly ag kal pooranay ganon par zeada zore hay kia
|
|
|
Post by SupremeSohni on Apr 12, 2007 16:13:04 GMT 10
Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye YYYYYYYYYYY Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye ke main tumhein kitna chahta hoon
Tumse kitni mohabbat karta hoon To usi din tum laut aana Tum mujhe apna paao ge
Jab tumhain aisa lage ke koi tumhare sang nahi hai koi tumhara hamdam nahi hai To usi din tum laut aana Tum mujhe apna paao ge
Jab tumhain zindage dushwar lage Jab koi umeed na koi aas ho koi bhe na tumhare pass ho To usi din tum laut aana Tum mujhe apna paao ge
Agar kabhi yadein bohat dukh de Tanhai ka ehsas bohat satae To usi din tum lautt aana Tum mujhe apna paao ge
Jab you lage tumhain ke Tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti Mazeed is aag main nahi jal sakti To usi din tum laut aana Tum mujhe apna paao ge
Jab har saans boojh lagne lage Tum andar hi andar tootne lago To ausi din tum lautt aana Tum mujhe apna paao ge
Na mile panah kisi key banhoon main Aur shiddat se kisi ke zaroorat ho To usi din tum laut aana Tum mujhe apna paao ge
Jab yeh ehsas tumhain tadpane lage Ke tum ne kabhi tukraya tha kisi ko Yah phir koi tumhain tukra de To usi din tum laut aana Tum mujhe apna paao ge
Aankhoon main ajay agar ashk tumhari Aur koi shaks pouchne wala na ho koi ghum bant ne wala na ho To usi din tum lautt aana Tum mujhe apna paao ge
Koi tord de agar dil tumhara Ho agar na koi muqabil tumhara Tanhai ka ehsas bohat sataee To usi din tum laut aana Tum mujhe apna paao ge
Yeh to dukh deti hain sada Tumhain bhe yadein sataye jab Mehfil main bhe khud ko tanha paoo To us din tum laut aana Tum mujhe apna paao ge
Yeh mera wada raha tumse Jo kuch bhe main ne kaha tumse Yeh sab na bhool paoo ge Tum muje sada,sada apna paoo ge,
|
|
|
Post by Prince_Imran on Apr 13, 2007 4:57:47 GMT 10
Wowwwwwwwwwww zabardast sohni
|
|
|
Post by Raja on Apr 14, 2007 4:01:28 GMT 10
koun apna tha yahan kiss pe inayat karte..... Hum ko hasrat hi rahi hum b mohabbat karte...... Tu ne samjha hi nahi hum ko kisi kabil warna ........ Hum tujh se ishq na karte teri ibadat karte....
|
|
|
Post by Prince_Imran on Apr 14, 2007 5:00:17 GMT 10
Nice raja ji
|
|
|
Post by angel on Apr 15, 2007 3:48:01 GMT 10
Mohubbat Ki Dunia
Mohubbat ki dunia mashoor kar doon mere Sada DIL, tujay maghror kar doon
tere DIL ko khud milnay ki arzu ho tujay is kadar ghum say ranjoor kar doon
mujay zindagi door rakhti hai tum say jo tu paas ho tu usay door kar doon
mohubbat kay IKRAR say sharam kab tak kabhi samna ho tu majboor kar doon
yeh berangiyaan kab tak, Ae husn-e-rangiin idhar ka tujay ISHQ main choor kar doon
tu gar samnay ho tu main bekhudi main sitaroon ko sajdoon pay majboor kar doon
siyah khana ghum hai saqii,zamana bas ek jaam aur noor hee noor kar doon
nahin zindagi ko wafa warna Sohail mohubbat ko dunia say maamoor kar doon
|
|
|
Post by Raja on Apr 15, 2007 4:24:55 GMT 10
Very Nice Angel
|
|
|
Post by Prince_Imran on Apr 15, 2007 22:42:28 GMT 10
Very Nice frnds
|
|
|
Post by Raja on Apr 16, 2007 4:38:15 GMT 10
Very Nice Frnds
|
|
|
Post by deadly on Apr 16, 2007 14:09:25 GMT 10
Zabar 10 doston
|
|
|
Post by deadly on Apr 16, 2007 14:30:53 GMT 10
Suna hoga bahut tum ne.... Kahin ankhon ki rim jhim ka... kahin palkon ki shabnam ka... kahin lehje ki barish ka... Kahin sagar k k ansso ka.... mager tum ne ! kabhi hamdam ! kahin dekha? kahin perkha? kisi tehrir k ansoo? Mujhe teri judai ne Yehi meraj bakhshi hai K me jo lafz likhta hoon Woh sare lafz rote hain Mre sang iss judai me Mere alfaz merte hain Sabhi tareef kerte hain Meri tehrirki lekin! Kabhi koi nahi sunta Mere alfaz ki siski Mere lafzon me hai shamil Isi tasir k ansoo! Kabhi dekho mere hamdam Meri tehrir k ansoo !!!
|
|
|
Post by zee on Apr 17, 2007 4:41:15 GMT 10
wonderful
|
|
|
Post by Raja on Apr 17, 2007 5:46:14 GMT 10
Deadly ji Very Nice
|
|
|
Post by SupremeSohni on Apr 18, 2007 1:56:59 GMT 10
Baat kar Baat kar tujh pe gumaan hone laga tasveer ka Muntazir kab se hai gair teree taqareer ka
Raat kya soey ke baqee umar kee neend bhee urr gaee Khuwab kya dekha ke dharka lag gaya taabeer ka
Kese paya tha tujhe kis tarah khoya tujhe Mujh sa munkir bhee ho gaya qayal taqdeer ka
Jane kis aalam mein tu bichara hai ke tere bagair Aaj tak har naqsh faryadi hai meree tahareer ka
Jis ko bhee chaha baree shidad se chaha hai Silsilaa toota nahi hai dard kee zanjeer ka[/color][/size]
|
|