|
Post by Lovely on Jan 27, 2007 3:36:09 GMT 10
|
|
|
Post by deadly on Jan 27, 2007 16:40:40 GMT 10
agar tum say koi pochay k zindagi kya hay hatheli par zara si khaak rakh rak ura dena
|
|
|
Post by Lovely on Jan 28, 2007 4:27:40 GMT 10
|
|
|
Post by prettyss0 on Jan 28, 2007 18:18:57 GMT 10
kool
|
|
|
Post by angel on Jan 28, 2007 22:00:47 GMT 10
Usey Kehna...!!!
Bikhar rahi hia Meri Zaat Usey Kehna Kabi mile to yeh Baat Usey Kehna
Wo saath tha to Zamana tha Hamsafar Mera Magar ab koi nahi Mere saath Usey Kehna
Usey Kehna k bin uske Din nahi kat'ta Sisak Sisak k Kati hai Raat Usey Kehna
Usey Pukaroon k Khood hi ponch jaoon us k paas Nahi Rahi wo Halat Usey Kehna
Agar wo phir b na lautey to Ae Qaasid! Hamari Zeest k Halaat Usey Kehna
Her Jeet uske Naam kar raha hoon Mai Mai maanta hoon apni Haar Usey Kehna
|
|
|
Post by Lovely on Jan 28, 2007 23:28:55 GMT 10
kia baat hai angel
|
|
|
Post by angel on Jan 30, 2007 1:03:34 GMT 10
thanx lovely.....
TERI YAAD
Teri Yaad Aati Rahi Dayr Tak Faza Jagmagati Rahi Dayr Tak Darazi-e-Shab Zulf-e-Mehboob Ki Ghazal Gungunati Rahi Dayr Tak Khayal Rukh-e-Yaar Jab Aagaya Sehar Muskarati Rahi Dayr Tak Ussey Dekh Kar Jab Palatney Lagi Nazar Jhilmilati Rahi Dayr Tak Tujhe Choo Ke Aayee Thi Shayed Saba Shagoofey Khilati Rahi Dayr Tak Mujhe Khamoshi Teri Tasweer Ki Takallum Sikhati Rahi Dayr Tak Teri Kam Nigahi Ki Dilkash Ada Mujhe Aazmati Rahi Dayr Tak Haqiqat Haseen Khawab Ke Roop Mein Tajalli Dikhati Rahi Dayr Tak Tasawwar Mein Aghosh-e-Mehboob Thi Mujhe Neend Aati Rahi Dayr Tak Fareb-e-Tasawwar Pe Janan Mujhe Hansi Khud Bhi Aati Rahi Dayr Tak
|
|
|
Post by prettyss0 on Jan 30, 2007 17:01:03 GMT 10
v nice frnds
|
|
|
Post by angel on Jan 30, 2007 20:49:44 GMT 10
thanx
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi Ae dil Be'faiz logon se nibah kar kuch nahi milta
|
|
|
Post by Lovely on Jan 31, 2007 3:09:46 GMT 10
really zabardast poetry Angel Gr8
|
|
|
Post by captain on Jan 31, 2007 3:33:00 GMT 10
|
|
|
Post by deadly on Feb 2, 2007 13:40:40 GMT 10
Zabar 10 Angel ....
|
|
|
Post by deadly on Feb 2, 2007 14:00:02 GMT 10
Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijiye Mujhay Pathar Pe Hoon Lakeer,Mita Dijiye Mujhay
Har Roz Mujh Se Taza Shikayet Hay Aapko Main Kya Hoon Ik Baar Bata Dijiye Mujhay
Mere Siwa b Hay Koi Mozoo-e-Guftagu Apna b Koi Rung Dikha Dijiye Mujhay
Ki Main Ne Apnay Zakhm Ki Tash,heer Ja Baja Main Manta Hoon Jurm,Saza Dijiye Mujhay
Qayam To Ho Sakay Koi Rishta Gohar k Sath Gehray Samandroon Mein Baha Dijiye Mujhay
Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Se Fayeda? Hay Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay
Jaltay Dinoon Mein Khud Pass-e-Deewar Baith Kar Saaye Ki Justaju Mein Laga Dijiye Mujhay
Yun To Shula-e-Jaan Sard Ho Hi Chuka Hay Lekin Sulag Uthoon To Hawa Dijiye Mujhay...!!!
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 3, 2007 1:56:55 GMT 10
Kuch Khood b they Afsurda se Kuch Khood b they Afsurda se, Kuch Tum b Hum se Rooth gaye Kuch Khood hi Zakhm k aadi the, Kuch Sheeshey Haath se choot gaye Kuch Khood b they Hassas boht, Kuch apne Muqaddar Rooth gaye Kuch Tum ko Such se Nafrat thi, Kuch Hum se na bole Jhoot gaye Kuch Logo ne Uksaya Tumhein, Kuch apne Muqaddar Phoot gaye Kuch Khood itne Mohtat na they, Kuch Log b Hum ko Loot gaye Kuch Talkh Haqaa'iq they Itne, K Khuwab hi sarey Toot gaye
|
|
|
Post by Lovely on Feb 3, 2007 5:15:22 GMT 10
waw kia baat hai very nice
|
|
|
Post by zee on Feb 4, 2007 21:03:51 GMT 10
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 5, 2007 3:11:13 GMT 10
Dard rukta nahi ek pal bhee Ishq ki ye saza mil rahi hey
Mout sey pehley hi mer geye hum Choot nazroo ki essi lagi hey
Bey wefa itna ehsan ker dey Kum sey kum ishq ki laaj rekh ley
Do qadem chel key kandha to dey dey Tere ashiq ki maeyet uthee hey
Dard rukta nahi.......
Raat kat tee hey gin gin key tarey Neend atee nahi ek pal bhee
Ankh legti nahi eb humari Ankh us buut sey essi legi hey
Dard rukta nahi...
Do qadem reh geya tha kinara Yek ba yek aa key mojo ney ghera
Dekh ey ehel e sahil temasha Meri kashti keha dubti hey
Dard rukta nahi ek pal.........
|
|
|
Post by deadly on Feb 5, 2007 17:24:59 GMT 10
Zabar 10 sohni
|
|
|
Post by deadly on Feb 5, 2007 17:28:54 GMT 10
Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya
Youn Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-e-Etibaar Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-e-Toofaan Kardiya
Aur Ab Kya Chahti Hey Mujh Se Dunya Ba’ad Marg Mein Ne Raushan Manzar-e-Gor- e-Gharibaan Kardiya
Maut Ab Aajaye, Mein Jam-e-Mohabbat Pi Chuka Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya
Kayenaat-e-Husn Ka Ek Harba-e-Masoom Tha! Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-e-Esyaan Kardiya
Rakh Diya Zer-e- Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya
|
|
|
Post by Lovely on Feb 6, 2007 4:36:41 GMT 10
wah kia baat hai Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya
|
|
|
Post by prettyss0 on Feb 6, 2007 18:32:35 GMT 10
v nice frnds
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 7, 2007 1:56:10 GMT 10
sirf daad se kaam nahi chale ga ....... yahan tu shair sunane hain....
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 7, 2007 2:02:48 GMT 10
khamoushi say bikharna aa gaya hai.... humain bhi ab sambhalna aa gaya hai...... gulabon ko tum apnay paas rakhoo........ humain kaanton pay chalna aa gaya hai...... kissi ko bewafa kehtay nahi hum...... humain bhi ab badalna aa gaya hai...... kissi ki yaad main rotay nahi hum....... humain chup chapa jalna aa gaya hai.......
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 7, 2007 2:05:17 GMT 10
Mansoob thay jo log meri zindagi ke sath
Mansoob thay jo log meri zindagi ke sath Aksar wohi milay hain bari be rukhi ke sath
Yon to main hans para hon tumahray liye magar Kitnay sitaray toot paray ek hansi ke sath
Fursat milay to apna giraban bhi dekh le Aye dost yun na khail meri be basi ke sath
Majboorion ki bat chali hai to may kahan Ham ne pia hai zaher bhi aksar khushi ke sath
Ek sajda-e-khaloos ki qeemat fiza-e-kuld? Yarab na kar mazak meri bandagi ke sath
MOHSIN karam ki lay bhi ho jis main khaloos bhi Mujh ko gazab ka piyar hai us dushmani ke sath
|
|
|
Post by Lovely on Feb 7, 2007 3:12:50 GMT 10
Nice Sohni
|
|
|
Post by angel on Feb 8, 2007 5:01:59 GMT 10
MØHÃßÃTT K£ §ÅƒÀR
Mohabat ke safar main koi bhi rasta nahi deta Zameen waqif nahi banti, falak saaya nahi deta
Khushi aur dukh ke mausum sab ke apne apne hote hain Kisi ko apne hisse ka koi lamha nahi deta
Udaasi jis ke dil main ho, ussi ki neend urti hai Kisi ko apni aankhoon se koi sapna nahi deta
Uthana khud hi parta hai thaka, tuuta badan apna Ke jab tak saans chalti hai, koi khaandha nahi deta
|
|
|
Post by angel on Feb 8, 2007 5:02:58 GMT 10
v.nice sohni n deadly:P
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 8, 2007 23:55:18 GMT 10
very nice angel.....nice sharing
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 8, 2007 23:56:29 GMT 10
agar dard-e-muhabbat se na insaaN aashnaa hotaa na marne kaa mazaa hotaa, na jiine kaa mazaa hotaa hazaaroN jaan dete haiN butoN kii be-vafaa’ii par agar un meN se ko’ii baa-vafaa hotaa to kyaa hotaa
agar dam bhar bhii miT jaatii Khalish-Khaar tamannaa dil hasrat talab ko apnii hastii hai gilaa hotaa ye maanaa be-hijaabaanaa nigaaheN qah’r kartii haiN magar husn-e-hayaa parvar kaa aalam duusraa hotaa
|
|
|
Post by Lovely on Feb 9, 2007 4:46:45 GMT 10
Very nice
|
|