|
Post by SupremeSohni on Feb 28, 2007 1:47:25 GMT 10
~~Jigar~~ tukdon mein bikhra hua kisi ka jigar dikhayenge kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge
honth kaanp jaate hain thar-tharaati hai zabaan toote dil se nikli huii aahon ka asar dikhayenge
kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge.. ......
aik pahunch paata nahin aik aur chhalak jaata hai palkon se daaman tak ka ashqon ka safar dikhayenge
kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge.. .......
kahin tasveer hai teri kahin likhaa hai tera naam mandir-masjid jitna paak aik deewar-o-dar dikhayenge
kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge.. .......
aksar takti rehti hai sunsaan raahon ko sanam darwaaze par baithi huii sapno ki nazar dikhayenge
kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge.. ......... .........
|
|
|
Post by Lovely on Feb 28, 2007 2:59:00 GMT 10
Zabardast Sohni ji
|
|
|
Post by deadly on Feb 28, 2007 13:42:43 GMT 10
WOW yaar
|
|
|
Post by deadly on Feb 28, 2007 13:43:34 GMT 10
Kal Aur Aaj Main Farq Sirf Itna Hai , Kal Tha Jina Aur Aaj Sehna Hai ,
Bhare Toh Kaise Bhare Zakham hai Ke Darya Hai Kal Tha Jo Dard Aaj Dugna Hai
Jab Chaha, Jisne Bhi, Uthaya, Khela, Tordia. Mera Dil, Dil Hai Ya Khiloona Hai
Ab Toh Aadat Hi Rahi Dagh-e-Chak-e-Daman ki Ab Kia Sina Hai Aur Kia Dhona Hai
Kal Tha Pana Aur Aaj Khone Ko Bacha Kia Hai Woh Toh Hona Hai Jo Bhi Hona Hai.
Kahin milay tu usay yeh kehna Main saray arman jala chukka hoon Jo sholey bharkey thay khawahishon k Wo ansoyon se bhuja chukka hoon Kahin milay tu usay ye kehna K chaak-e-daman ko si raha hoon Bari hi mushkil se g raha hoon Dia jo nafrat ka zehar tu ne Samaj k amrat Main p raha hoon Kahin miley to usay yeh kehna Wo jazbay meray Kuchal gaya hai Jafa k sanchay mein dhal gaya hai Na badlay mosam b itni jaldi Wo jitni jaldi badal gaya hai
|
|
|
Post by SupremeSohni on Feb 28, 2007 21:03:52 GMT 10
Masoom Mohabbat
Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hai Kagaz ki Haweli hai aur Baarish ka Zamana hai
Kya shart-e-mohabbat hai, Kya shart-e-zamana hai Awaaz bhi Zakhmi hai aur Geet bhi gaana hai
Uss paar utarne ki Umeed boht kam hai Kashti bhi Puraani hai aur Toofaa ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe wo Andaaz Mohabbat ke Ek Shakhs ko Aankhon se Shair sunana hai
Bholi si Adaa koi phir Ishq ki zidd par hai Phir Aag ka Darya hai aur doob ke jana hai
|
|
|
Post by deadly on Mar 1, 2007 13:49:33 GMT 10
Nice yar
|
|
|
Post by deadly on Mar 1, 2007 14:04:38 GMT 10
Qurb K na Wafa K hote hy, Sare Jhagre ANAA K hote hy...
Wo Hamara hy Is tarah Shayad,Jaise bande Khuda k hote hy...
Kuch ko Dunya Banati hy Pagal,Kuch Pareshan Sda K hote hy...
Baat Niyat ki Sirf hy Warna, Waqt Sare Dua K hote hy...
Bukshe Duniya bh thik hy laikin,Kuch Saliqe Ata K hote hy...
Wo Bazahir jo kuch nahi lagte,Unse Rishte BALA K hote hy...
Bhul jate hain Mut Bura kehna,Log Putlay Khata K hote hy...
|
|
|
Post by zee on Mar 2, 2007 4:06:56 GMT 10
very nice
|
|
|
Post by deadly on Mar 3, 2007 19:57:02 GMT 10
Toofaan kar raha tha Merey Azm ka tawaaf Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai
|
|
|
Post by deadly on Mar 3, 2007 19:57:26 GMT 10
TUJH KO YAAD KAR K BOHUT ROYE HON MAIN AJ BOHUT DIN BAD SOYE HON MAIN CHALI THI PHIR AJ USHI RAH PAY JIS RAH SAY HATHAIE GAYE HON MAIN MUJHAY IS BAAT KA GHUM NAHI K HUA KIA USKI KHUSHI HAI K TERAY SATH LAGAYE GAYE HON MAIN KITNI AZAD THI MAIN APNAY KHAYALON MAIN AB PHIR USHI QAID MAIN LAYE GAYE HON MAIN KIS ASS SAY MAAN SAY CHAHA HAI TUJH KO BARAY PIYAR SAY TUKRAYE GAYE HON MAIN KIA HUA AGAR TO NAY TUKRA DEYAH ISI IK ADA K SAHARAY JEE LON GIE MAIN ITNA KARAM KARNA NAZRAON SAY DOR CHALAY JANA WARNA TUJHAY PHIR KABHI BHOOL NA PAON GIE MAIN
|
|
|
Post by Lovely on Mar 4, 2007 3:33:04 GMT 10
Very Nice Deadly ji
|
|
|
Post by angel on Mar 4, 2007 7:57:14 GMT 10
superb deadly
|
|
|
Post by angel on Mar 4, 2007 7:59:00 GMT 10
Jo Rishtey Dil Se Jurte Hain
Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte Kisi ka saath Raste mai kabhi chora nahi karte
Kahin is se Tumhare haath hi zakhmi na ho jayein Jo Toote Aaina to phir ise jora nahi karte
Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rukh mora nahi karte
Tijarat ke usulon per Mohabbat ki nahi jati Mohabbat mai kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte
Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte
Mohabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte
Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo Mohabbat mai kabhi Khayaanat kia nahi karte
|
|
|
Post by prettyss0 on Mar 4, 2007 18:42:58 GMT 10
v nice frnds
|
|
|
Post by SupremeSohni on Mar 4, 2007 20:30:48 GMT 10
Aik shaam , uss key naam Kisee din cahteen hain chupkee see us kee zeney per koi jaltaa deyaa; kuch phool, rakh ayeen ke apney bachpany main who andheron see bhi darta thaa usey phoolon kee kushboo see bhi ragbat bhi thi buhaat mumkin hai , abh bhi shabb ki tariki see ess ko khuff atta hoo mehektey phool saayiad baisey taskeen abh bhi hoon soo ess amkaan per ikk shaam uss ki naam kertey hain chaloo yee kaam kertey hain poet : aitbaar sajid
|
|
|
Post by angel on Mar 6, 2007 5:42:33 GMT 10
DIL KE RISHTEY BHI AJEEB HOTE HEIN
Dil Ke Rishtey Bhi Ajeeb Hote Hein, Door Rehkar Bhi Kareeb Hote Hein, Jo Loog Aap Ko Roz Dekhte Hein, Woh Loog Kitne Khushnaseeb Hote Hein.
Woh Har Dil Mein Uttar Jaate Hai , Hum Har Dil Se Uttar Jaatey Hein. Arey Kiya Bharosa Karein Unka Jo Mohabbat Karke Mukhar Jaate Hein.
Peyaar Itna Hi Karo Ke Dil Beheil Jaye, Is Qadar Bhi Na Chaho Ke Dum Nikal Jaye.... Tu Itna Peyaar Kar Jitna Tu Seh Sakey, Bicharna Bhi Parey To Zinda Reh Sakey....... .
Ek Diya Woh Bhi Hai Jo Raat Jalta Hai, Aur Din Mein Bujh Jata Hai, Ek Hum Bhi Hein Jo Tere Ishq Mein, Din Raat Jaltey Hein, Tujhey Yaad Kartey Hein
|
|
|
Post by SupremeSohni on Mar 6, 2007 16:32:52 GMT 10
HUM YAAD AAYENGE Kabhi jo maazi main jhankoge Tumhain hum yaad aayenge Kisi lamhe kuch jo sochoge Tumhain hum yaad aayenge Kabhi yun hi akele main beet-e- dino ko soch ker Koi geet jo gungunaoge Tumhain hum yaad aayenge Sab doston ki mehfil main Kisi shokh si baat per zer-e-lab jo muskuraoge Tumhain hum yaad aayenge Zindagi ke kisi morr per Apne Dil ki baat ko Kisi se keh na paoge Tumhain hum yaad aayenge
|
|
|
Post by prettyss0 on Mar 7, 2007 0:50:32 GMT 10
v nice frnds
|
|
|
Post by SupremeSohni on Mar 7, 2007 3:58:50 GMT 10
Jo Na Mil Saka Wo Baywafa Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai... Wo Roshni Kay Khayal Main Wo Na Asaka Raah Mian Muntazir Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main Mere Justojoo Ko Khabar Nahi Na Wo Din Rahay Na Wo Raat Rahay Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai.. Kary Pyar Lab Pay Koi Gila Na Hoo Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai Wo Aankh Hai Mere Ru Baru Ussi Haath Mein Mera Haath Hai Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka Jo Mujhay Qarar Na Day Saka Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar Mujhay Apna Pyar Na Day Saka Wohi Shakhs Mere Talassh Hai Wohi Dard Mere Hayaat Hai Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Meray Saath Ha
|
|
|
Post by zee on Mar 8, 2007 4:23:41 GMT 10
very nice friends keep it up
|
|
|
Post by Prince_Imran on Mar 8, 2007 5:00:47 GMT 10
Very Nice Keep It up
|
|
|
Post by deadly on Mar 9, 2007 14:20:06 GMT 10
Super
|
|
|
Post by deadly on Mar 9, 2007 15:33:29 GMT 10
Main Apni Dosti Ko kabhi Ruswa nahi karta
Muhabbat main bhi karta hon magar charcha nahi karta
Jisaii main CHor daita honnnn usai main Bhool Jata hon
Phr is hasti ki jaanib Main kabhi dekha nahi karta
JO mujhsai Milnai AJaiii main Iska dil sai Khaddim hon
JO uth k jana chahay unhai roka nahi karta
|
|
|
Post by deadly on Mar 9, 2007 15:35:32 GMT 10
Kisi anjan rastay per mila aik ajnabi mujhko uljhay baal zard chehra qadmoon say uskay khoon tha rista kaha mein nay aay ajnabi koi duswar manzil hai kahan ka qasad rakhtay ho wo boola Mera safar to shayad meri umar say lamba hai meri manzil ka nishan shayad meri turbat sa lagta hai Ghamoon ki dhoop hai apni Hijr ki andhi raatien hain Tarapti yaad aur nasoor-e-jiger hai rakht-e-safar mera na dua hai na koi taweez ba-a-sar MUHABBAT merz hai mera...
|
|
|
Post by Lovely on Mar 10, 2007 3:53:45 GMT 10
Very Nice
|
|
|
Post by angel on Mar 11, 2007 3:44:27 GMT 10
kabhee to raat hote hay
tanhayeon mayn baat hote hay
kabhe to suraj ki tapish
dilon mayn sath hote hay
kabhe tum hastay ho
wafa mayn sajhtay ho
kabhe tum roth jatay ho
mohabatian bhool jatay ho
kabhe parchayen reh jayen
labbon pay jhul jatay ho
meri kaniat tum say hay
zindagi ke raat tum say
chahatian azmatay ho
khedo na tum meray ho
meri udassion k saweray ho
|
|
|
Post by prettyss0 on Mar 13, 2007 19:50:04 GMT 10
v nice
|
|
|
Post by angel on Mar 14, 2007 3:22:16 GMT 10
Sirf Itna Hi
ஜ______ஜஜ______ஜ
Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se Jazbaton Ki Koi Numayish Nahin Ki
ஜ______ஜஜ______ஜ
Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai Rishte Ki To Koi Guzarish Nahin Ki
ஜ______ஜஜ______ஜ
Chaho To Bhula Dena Humein Dil Se Sada Yaad RakhneyKi Sifarish Nahin Ki
ஜ______ஜஜ______ஜ
Khamoshi Se Toofan Seh Letey Hai Jo Un Baadlon Ne Izhar Ki Baarish Nahin Ki
ஜ______ஜஜ______ஜ
Tumein Hi Mana Hai Rehnuma Apna Aur to kisi Cheez Ki Khwahish Nahin ki
|
|
|
Post by SupremeSohni on Mar 14, 2007 16:54:15 GMT 10
kabhi is nagar tujhay daikhna kabhi os nagar tujhay dhoondna kabhi raat bhar tujhay sochna kabhi raat bhar tujhay dhoondna mera khawab tha k khayal tha wo urooj tha k zawaal tha teri yaad aaye tow row dia jo tu mil gaya tujhay kho dia mere silslay bhi ajeeb hein tujhay chor kar tujhay dhondna kabhi is nagar kabhi os nagar
|
|
|
Post by prettyss0 on Mar 16, 2007 19:10:03 GMT 10
v nice frnds
|
|