|
Post by SupremeSohni on Mar 17, 2007 1:51:44 GMT 10
Khawabon Ka Ek Jazeera Ho Jugnu'on ka jahan Basera ho Koi wahan tak ja na sake Aana jana sirf Tera Mera ho Batein hon Sargoshyan hon Muskrata Tera Chand chera ho Zulfon se Teri mai Khela karoon Teri Palkon ka Mujh pe Pehra ho Jheel kinare Jugnu hon Mehwe-Raqs Dhalti Shaam ka Surmai sa Andhera ho Chand Sitare Istiqbal kiya karein Us Nagar jab bhi Hamara Phera ho Na Khatam hone wali hon Baatein Aisi Raat ka kabhi na Sawera ho Meri Nazrein kiya karein Parastish Aur Tawaf ke liye Husn tera ho Aisi ho Dunya jahan sab ek se hon Na ho koi Chota, na koi Wadera ho
|
|
|
Post by deadly on Mar 24, 2007 17:01:16 GMT 10
woo kool
|
|
|
Post by deadly on Mar 24, 2007 17:09:45 GMT 10
Muhabbat jhoot lagti hay mujhay ik khookhla jazba jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo kahay janay ki.. sunanay ki.. jisay her pal zaroorat hoo "mujhay tum say muhabbat hay" na janay roz kitnay loog is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain ye aisa jhoot hay jis ka sehr sadioo'n say jari hay magar janaa'n muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay koi tum say ager kahday "mujhay tum say muhabbat hay" to us ki baat mat sunnana
muhabbat rooh say phootay muhabbat aks ban jaye to phir tum ko yaqee'n aye k main nay sach kaha tum say muhabbat rooh ban jaye to phir us ka yaqee'n kerna waerna aik jumla koi kitni baar duhraaye kahay jayee
nahi sunnuna muhabbat jhoot hay janaa'n ager izhaar ki is ko zaroorat hoo.... !! dil ko hay bus aik hi uljhan...
mun chahi taabeer say roshan sapna kesa ho...
aankhoun may jo khuwab TERA hay ...apna kesa ho....!!
|
|
|
Post by deadly on Mar 24, 2007 17:10:22 GMT 10
Tera chehra in aankhon se bhulaya b nahi jata aisay khaila hai is dil se bataya b nahi jata
Tera ana, chalay jana, mohabbat mei yun tarpana Kis se seekha meray sathi Kar k wada mukar jana
Tumne likha jo is dil pay mitaya b nahi jata
Sunayein b kisi ko kiya?? Sabhi ko ishq ne loota Koi gham se bacha hai kiya??
Chupayen kaisay dil mei gham chupaya b nahi jata
Tera chehra in ankhon se bhulaya b nahi jata.. aisay khaila hai is dil se bataya b nahi jata
|
|
|
Post by Prince_Imran on Mar 25, 2007 4:00:56 GMT 10
zabardast deadly ji
|
|
|
Post by SupremeSohni on Mar 25, 2007 4:08:13 GMT 10
Kyn rulaate ho mujhe? Kyu rulaate ho mujhe ? Kyu bhool jaate ho mujhe? Tere he sahaare to jee rahe hain hum..
To phir kyu akela chodh jaate ho ? Har baat ko chupana ataa hai tumko, Roothon ko manana ataa hai mujhe. Roothe ho tum na jaane kis baat par mujh se... To phir wo baat kyu nahi bataate ho tum mujhe?
Jaan jaati hai meri , Jab yaad aati hai tumhari. Tum to mujhe bhula dete ho... To phir kyu yaad aate ho mujhe? Hum jeene ke bahaane marte rahenge,
Pyaar hum tumse karte rahenge. Pyaar to tum bhi karti ho na.. To phir kyu yu sataati ho mujhe? Ya keh do zeher peene ko, Ya kaho phir mujhe jeene ko.
Agar mere saath main nahi chalna tha tumko.... To phir kyu mujhe raasta zindagi ka dikhaya ? Beech raaste main kyu is tarah akela chodh diya? kaho ...kuch tho kaho Kyu akela chodh diya ......
|
|
|
Post by deadly on Mar 26, 2007 15:10:33 GMT 10
wow nice
|
|
|
Post by deadly on Mar 26, 2007 15:12:11 GMT 10
suna hoga bohat tum ne .... kahiN aankhoN ki rim jhim ka kahin palkoN ki shabnam ka... parha hoga bohat tumne .... kahiN lehjay ki barish ka kahiN sagar ke aansoo ka... magar tum ne kabhi humdam ... kahin daikhay? kahin parkhay? kisi tehreer ke aansoo??...!! mujhe teri judaai ne ... yehi mairaaj bakhshi hai... ke main jo lafz likhta hooN ... woh saray lafz rotay hain ke main jo harf bunta hooN ... woh saray bain kartay hain mere sang is judaai main ... mere alfaz martay hain sabhi tareef kartay hain ... meri tehreer ki lekin.. kabhi koi nahin sunta ... mere alfaz ki siski... falak bhi jo hila daalay.. mere lafzoN main hain shamil ... usi taseer ke aansoo... kabhi daikho mere humdam... meri tehreer ke aansoo..!!
|
|
|
Post by deadly on Mar 26, 2007 15:15:25 GMT 10
wo aksar kaha karti thi
tumhe apna bana k choroo gi
phir wohi hua apna banaya aur chor dia!!!
|
|
|
Post by deadly on Mar 26, 2007 15:17:58 GMT 10
Wo hamara imtihan kya legi, milayegi nazron se nazar to nazar jhuka legi. Use meri qabar par diya jalane ko mat kehna, wo naadan hai dosto apna HAATH jala legi...
|
|
|
Post by Prince_Imran on Mar 27, 2007 4:31:59 GMT 10
wow gr8 choice deadly
|
|
|
Post by zee on Mar 27, 2007 4:34:28 GMT 10
very nice
|
|
|
Post by deadly on Mar 27, 2007 15:16:01 GMT 10
Thankz imran & zee
|
|
|
Post by deadly on Mar 27, 2007 15:18:20 GMT 10
kaha tha na..
mujhay tum is tarhaan sotay hoey mut chor k jana
mujhay bay shuk jaga dena
bata dena...
mohabat k safar may saath meray chal nahi sakti..
judai may , hijar may saath meray jal nahi sakti
tumhay rasta badalna tha
meri hud say nikalna tha
tumhay kis baat ka dar tha
tumhay janay nahi deta
kahin pay qaid kar leta
aray pagli!!!
mohabat ki tabiyat may zabardasti nahi hoti
jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay say
jisay hud say nikalna ho usay hud say nikal say
na koi rok paya hay..na koi rok paey ga
tumhay kis baat ka dar tha...
mujhay bay shuk jaga deti
main tum ko dekh hi leta
koi dua day deta
kam aaz kam yun to na hota
meray saathi haqeeqat hay..
tumharay baad khonay k liyeh kuch bhi nahi baaqi
magar khonay say darta hun..
main ab sonay say darta hun...!!!
|
|
|
Post by deadly on Mar 27, 2007 15:21:09 GMT 10
had-e-idraak say aagay thi teray qurb ki raat
dhoondnay tujhko kahn chand sitaray jatay
tujh say mansoob hoey to yeh hasrat hi rahi
hum kabhi apnay hawalaey say bhi janay jatay...!
|
|
|
Post by prettyss0 on Mar 28, 2007 1:34:49 GMT 10
v nice deadly
|
|
|
Post by Raja on Mar 28, 2007 3:29:55 GMT 10
Nice
|
|
|
Post by deadly on Mar 28, 2007 15:14:04 GMT 10
Thankz both of u
|
|
|
Post by deadly on Mar 28, 2007 15:16:10 GMT 10
chup chap na lay jaay,samndar ko utha kar
wo shakhs jo sahil pay khara soch raha hay.
|
|
|
Post by deadly on Mar 28, 2007 15:21:18 GMT 10
mana ke har eik ki zindagi mein ghum ate hain magar
jitne ghum mujhe mile utni meri umer na thi..
|
|
|
Post by Raja on Mar 29, 2007 3:16:39 GMT 10
WoW
|
|
|
Post by Prince_Imran on Mar 29, 2007 3:49:08 GMT 10
Very Nice frnds
|
|
|
Post by deadly on Mar 29, 2007 15:02:00 GMT 10
Thankz both of u
|
|
|
Post by deadly on Mar 29, 2007 15:03:15 GMT 10
na thi jis ko pyar ki qadar,
itefaq se usi ko chah rahay thay hum,
usi diye ne jalaya hathon ko,
jise hawa se bacha rahe thay hum...!!!
|
|
|
Post by deadly on Mar 29, 2007 15:05:01 GMT 10
dilon se khelne ka hunar hamain nahi aata,
is lye ishq ki baazi hum haar gaye,
meri zindagi se shayad unhain bohat pyar tha..
is lye muje zinda hi maar gaye..
|
|
|
Post by Prince_Imran on Mar 30, 2007 4:09:00 GMT 10
Very Nice deadly
|
|
|
Post by deadly on Mar 30, 2007 17:34:32 GMT 10
thankz
|
|
|
Post by deadly on Mar 30, 2007 17:54:56 GMT 10
Sab rang bdal gaye hai Chand nikla hai waise hi Andhere badal gaye hai Jinke bharose thi khusiyan Wo badal gaye hain Manzile to abb bhi wo hi hain Kuch rastay badal gaye hain Jinpe kiya tha bharosa humne Wo dost bicharr gaye hain Dakhe thay kabhi jo humne Wo kahwab badal gaye hain Jo banay thay kabhi hamsafar Aaj wo hi mukarr gaye hain Ais tutay huye dil kay saray.. jazbaat badal gaye hain Na badle kabhi hum Na badle hamaray khayalat Bas rona hai yahi...... KUCHH LOG BADAL GAYE HAIN ..
|
|
|
Post by deadly on Mar 30, 2007 17:55:43 GMT 10
Is mulk ko kis nay loot liya? Is baat ka charcha kaisay ho?
Jab apnay muhafiz sootay hoon, Phir shoor-o-shikwa kaisay ho?
Jab aanch thi halki halki si, Sholoon ko bujhana mumkin tha Ab aag hai galiyoon galiyoon main Ab matba thanda kaisay ho?
Yahan rooz hi khanjar chaltay hain Haan rooz hi lashain girti hain Ab ahle chasham yeah kehtay hain Her laash pay noha kaisay ho?
|
|
|
Post by Prince_Imran on Mar 31, 2007 3:20:10 GMT 10
Very Nice Deadly
|
|