|
Post by zee on Oct 29, 2006 16:46:52 GMT 10
ok sadia meri taraf say aap ko 100 points miltay hain aap bilamuqabla jeet gai ho huuuuuuurrrrrrrrrrrrray ab baki logo k pas lagta hai achi batein khatum ho gai hain Angel k pas tu achi batoon ka khazana tha lagta hai woh kisi nay chura lia hai
|
|
|
Post by SupremeSohni on Oct 29, 2006 17:44:27 GMT 10
agreed with sadia.......congratulations
|
|
|
Post by prettyss0 on Oct 31, 2006 1:08:29 GMT 10
Thx frnds
|
|
|
Post by SupremeSohni on Oct 31, 2006 15:03:59 GMT 10
chalo ab koi achi si baat bhi share ker lo.....sadia
|
|
|
Post by zee on Nov 2, 2006 3:26:35 GMT 10
kabhi kabhi achi baat bhi share kar leni chhaye sadia i know tyeh tumhare liye aik mushkil kaam hai but koshih karo
|
|
|
Post by prettyss0 on Nov 2, 2006 4:40:03 GMT 10
sawaey baton kai kuch nahi nahi kerna
Laakhon main aik hona bari baat nahi haan qabil-e-zikar baat aik shakhs main lakhon khoobiyan hona hain
|
|
|
Post by prettyss0 on Nov 3, 2006 18:00:30 GMT 10
frnds ap ki farmaesh par aik achi bat share karti hon baqol zee yey mushkil kam to hay magar kabhi kabhi muskil kam bhi kar layna chaeay wesay to may khooch achi baten share kar chooki hon
Behtreen insaan wo hay k jab uss ki tareef ki jaey to wo sharminda ho aur jab uss ki burae ki jaey to wo khamosh rahay
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 3, 2006 18:34:45 GMT 10
ye kesa behtreen hay........ buraii per bhi khamosh rahe........ aur tareef per bajae khush hone ke sharminda ho........tareef main sharam kesi.......sadia
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 3, 2006 18:35:47 GMT 10
yani agar main apki tareef karoon .........ke.......sadia is a active and top poster member.......tu ap sharam se pani pani ho jaaengi .......?
|
|
|
Post by prettyss0 on Nov 4, 2006 7:35:48 GMT 10
yey mera nahi KHALIL JABRAN ka qool hay aur ap bat ki gherae ko samjho jo gharay aur waqi baray log hotay hain wo aesa hi kartay hain iss leay k kisi achay insan ki burae karnay wala khood apna nuqsan kar ra a hota hay chand par thooknay ka anjam kia hota hay Sohni aur jo waqi nek nafs hota hay ussay apni tareef sunnay say khooch nahi hoti kiu k wo wo jo acha karta hay Allah k leay karta hay tareef sunnay k leay nahi MAY TO BOHT AMM SI INSAN HON SOHNI TAREEF PAY KHOOCH HONAY WALI AUR BURAE PAY BEEGARNAY WALI Kash mera shomar bhi in nak nafs logon may honay lagay k jo waqi behtreen hotay hain
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 6, 2006 2:45:18 GMT 10
khubsoorat hain wo lub jo pyari batein kertey hain
khubsoorat hai wo muskurahat jo dosaroon ke chehroon per bhi muskan saja de
khubsoorat hai wo dil jo kisi ke dard ko samjhey jo kisi ke dard mein tarpey
khubsoorat hain wo jazbat jo kisi ka ehsaas karein
khubsoorat hai wo ehsaas jo kisi ke dard ka madawa baney
khubsoorat hain wo batein jo kisi ka dil na dukhaein khubsoorat hain wo ankhein jin mein pakezgi ho sharm o haya ho
khubsoorat hain wo ansoo jo kisi ke dard ko mehsoos kerke beh jaein
khubsoorat hain wo Hath jo kisi ko mushkil waqat mein tham lein
khubsoorat hain wo qadam jo kisi ki madad ke liye aagey berhein !!!!!
khubsooart hai wo sooch jo kisi ke liye acha soochey
khubsoorat hai wo insan jis ko KHUDA ne ye khubsoorati ata ki
|
|
|
Post by prettyss0 on Nov 6, 2006 7:54:39 GMT 10
V nice
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 6, 2006 18:38:39 GMT 10
thanks
|
|
|
Post by zee on Nov 7, 2006 3:54:38 GMT 10
yey mera nahi KHALIL JABRAN ka qool hay aur ap bat ki gherae ko samjho jo gharay aur waqi baray log hotay hain wo aesa hi kartay hain iss leay k kisi achay insan ki burae karnay wala khood apna nuqsan kar ra a hota hay chand par thooknay ka anjam kia hota hay Sohni aur jo waqi nek nafs hota hay ussay apni tareef sunnay say khooch nahi hoti kiu k wo wo jo acha karta hay Allah k leay karta hay tareef sunnay k leay nahi MAY TO BOHT AMM SI INSAN HON SOHNI TAREEF PAY KHOOCH HONAY WALI AUR BURAE PAY BEEGARNAY WALI Kash mera shomar bhi in nak nafs logon may honay lagay k jo waqi behtreen hotay hain hmm sadia aap nay jo khalil jebran ka qool likha hai us main yeh kahin nahi likha hua k " agar koi achay insaan ki burai karay " waisy bhi zaroori nahi hai k khalil jebran ka har baat sahi ho aur apni tareef sun kar jis ko sharam aa jaye woh shermila tu zaroor ho sakta hai magar yeh zaroori nahi hai k woh behtreen bhi ho aur jis ko sharam na aaye woh bhetreen na ho waisy aksar jub koi meri tareef karta hai tu mujhy sharam a ajati hai
aur is baat say tu bilkul disagree hoon k agar koi aap ki burai karay tu khamosh raho aap k khamosh rehnay say tu dosroon ko us ki baat shai lagay gi jo aap ki burai kar raha hoga woh sachin gay k zaroor aisa he hai is liye yeh khamosh hai
mera khayal hai k aisay moko par khamosh rehna sahi nahi hai
|
|
|
Post by prettyss0 on Nov 7, 2006 7:21:49 GMT 10
Zee jahan tak may iss bat ko samjhi hon wo yey k jab koi insan nek amal karta hay to wo tareef sunnay k leay nahi karta wo sirf Allah ki khoosnoodi k leay karta hay jesa k Islam may hay k aik hath say do to doosray ko khabar na ho to khooch log apni naykeon ki tasheer pasand nahi kartay yey in ammm si baton k baray may nahi hay k tum boht haseen ho ya smart ho active ho ham aur tum to baray amm say insan hain to hamaray rowaeay bhi amm say hain
|
|
|
Post by SupremeSohni on Nov 7, 2006 14:51:43 GMT 10
array sadia ji ap ne tu baat ko hi turn ker diya ........ baat ho rahi thi tareef per sharminda hone ki aur ...... burai per khamosh rehne ki....... come to the point and explain......
|
|
|
Post by zee on Nov 8, 2006 4:16:07 GMT 10
hmm Sadia qool main achay kaam ka zikar hai aur misal tum " naik kaam " ki day rahi ho acha aur naik yeh dono diffrent words hain in k means bhi diffrent hain so jo qool likha hai usi k hisab say misal do waisy tu main aur bhi bohut kuch likh sakta hoon but pehly tum wapis topic par a ajao
|
|
|
Post by prettyss0 on Nov 8, 2006 7:30:21 GMT 10
Zee phelay tum mujhay achay kam aur nek kam may farq batado phir may tumari bat ka jawab don gi tum in dono ko alag alag sabit karo
|
|
|
Post by zee on Nov 9, 2006 7:07:47 GMT 10
haaaaaaaaaaaaaaaaaaa sadia tum ko yeh bhi nahi pta aur fazool ki misal day rahi ho
ab tum ko in batoon ka matlab samjhnaay baith gaya tu ho gaya mera kama kal btaon ga in ka matlab ab neend a arahi hai
|
|
|
Post by prettyss0 on Nov 10, 2006 1:23:47 GMT 10
Hmm jab jawab nahi dayna ata to banday ko neend hi ati hay :DZee??? ok dekhtay hain tumay kab tak neend ati hay
|
|
|
Post by zee on Nov 16, 2006 5:29:02 GMT 10
shame shame sadia yeh din bhi dekhna tha mujhy chalo aaj main tum ko aik chohti c misal say samjha deta hai acha kaam hota hai jaisy k aap nay aik achi painting bnai sab ko achi lagi aur logo nay kaha good work etc toh yeh aap ka hua aik acha kaam naik kaam hota hai naiki karna aap nay rastay main para hua pathar hta dia yeh naik kaam hua is ka aap ko sawab bhi milay ga isi tarah achay aur naik kaam dono main farak hai acha kam karnay say zaroori nahi hai k sawab bhi milay ab aik misal aur deta hoon aap Dosti-Club ki active member hai yeh humari nazar main aap ka acha kaam hai but yeh naik kaam nahi kaha ja sakta abhi bhi samjh main nahi aaya hai toh khud samjhnay ki koshih karna warna mere pas exaples ki kami nahi hai
|
|
|
Post by Lovely on Dec 5, 2006 7:26:48 GMT 10
|
|
|
Post by angel on Dec 11, 2006 6:00:41 GMT 10
hmmMMMmmmm...yehan tu phir se zee ki examples bhari philosophy chal rehi.....gudy gud....lets c zee jii k philosophy iss quote k baray kya kehti hai.....
Work as if you were to live for ever, Act as you were to die tomorrow.
|
|
|
Post by Lovely on Dec 12, 2006 5:53:04 GMT 10
nice frnds
|
|
|
Post by angel on Dec 15, 2006 4:31:46 GMT 10
Homour can only be purchased by worthy action.
|
|
|
Post by zee on Dec 15, 2006 5:02:01 GMT 10
aap ki achi baat say hum kaisy disagree ho saktay hain angel nice sharing
|
|
|
Post by Lovely on Dec 18, 2006 4:36:34 GMT 10
|
|
|
Post by SupremeSohni on Dec 19, 2006 2:20:21 GMT 10
|
|
|
Post by angel on Dec 19, 2006 18:44:57 GMT 10
hmmmm gr8 zee k aap humari kisi baat se agree to kertay ho... n thax to all of u frnd for liking my achi achi baat but where r urs???
|
|
|
Post by angel on Dec 19, 2006 18:49:03 GMT 10
Tum main se behter woh shaks hai jo dair se khafa ho aur juld razi ho jay aur bura shaks woh hai jo juld gussa ho aur dair main razi ho(Holly Prophet P.B.U.H)
|
|