|
Post by prettyss0 on Sept 14, 2006 7:52:45 GMT 10
Iss leay k Shazz zaheen hay hmmm ab pata laga Shazz hindi aur urdu ka farq Larkay bali zeada shoq say pahantay hain ya choori
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 14, 2006 13:42:05 GMT 10
ohh........ye sawal tu larkon ke liye tha........ ye tu larke baale hi bataen ge ke woh kya pahenna pasand kerte hain......
so this question is repeat for any guy......
Larkay bali zeada shoq say pahantay hain ya choori
|
|
|
Post by nida on Sept 14, 2006 17:44:08 GMT 10
Sohni lagta hai Larkon k pass is ka jawaab nahi hai .... so can i well larkey bali is liya pahentey hain kyunki woh larki banna chahtey hain (joking)
Sohni aap jhoola kyun jhul rahi hain
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 14, 2006 18:50:44 GMT 10
is liye ke sawan ke din aae howe hain.........
larkiyaan english ke chund words bol ker itrati kyon hian?
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 15, 2006 1:32:46 GMT 10
Sohni yey sawal ap pooch chooki hain wesay mujhay to english ati nahi hay to may yey kaysay bata sakti hon aur larkay bhi to english bol k kon sa kam itratay hain
Shadi may ham log dulhan ko lal joora hi kiu pahnatay hain
|
|
|
Post by nida on Sept 15, 2006 2:23:21 GMT 10
nice question hai Sadia ji is ka jawaab hai k Laal rang suhaag ki nishani ko kaha jata hai ...
aur mera sawaal hai k .... Hum larkion mein kis kami ki wjaah sey larkey hamey dhoka detey hain ...??
|
|
|
Post by zee on Sept 15, 2006 3:44:15 GMT 10
Iss leay k Shazz zaheen hay hmmm ab pata laga Shazz hindi aur urdu ka farq Larkay bali zeada shoq say pahantay hain ya choori larkay chori ziyda shooq say "pehnatay" hain aur pgir rings pehnatay hain jis k baad larki , larkoon k galay ka har ban jati hai
|
|
|
Post by zee on Sept 15, 2006 3:48:45 GMT 10
nice question hai Sadia ji is ka jawaab hai k Laal rang suhaag ki nishani ko kaha jata hai ... aur mera sawaal hai k .... Hum larkion mein kis kami ki wjaah sey larkey hamey dhoka detey hain ...?? aap nay kitni bar dhoka khaya hai Nida ji aik bar hum say bhi dhoka kha kar dekhin my question larkiyaan akhir dhoka q khati hain kuch aur q nahi kha leti ?
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 15, 2006 7:01:05 GMT 10
hmmmmmm Larkyan aor dhoka? mera khayal hai k jo doosron ko dhoka deny ki koshish karta/karti hai wahi dokha khatakhati hai
My Q Nida aap ko kon dhoka de sakta hai?
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 15, 2006 7:10:28 GMT 10
Ab iss ka jawab to nida hi daysakti hay so Nida k jawab ka intezar kartay hain . Zee ab tak kitni galay ka har ban gaen hain
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 15, 2006 12:58:56 GMT 10
ye tu zee hi bata sakte hain..........sadia ji.......
lets wait to him. ...........sadia ke question ko aage barhate hain
|
|
|
Post by nida on Sept 15, 2006 18:14:06 GMT 10
hmm..!! Well nice Questionmujhey koi dhoka deney wla anah aya hai ab tak agar aa gaya tho pehley dhandhon sey phir jooton sey aur phir logon sey maar khaey ga ... mainey just aik question pocha hai ... lekin is ka jawaab yeh hai k hum larkiyan itni jaldi un par trust jo kar leti hain .. now zee ki baari hai reply karney ki
|
|
|
Post by zee on Sept 16, 2006 3:00:19 GMT 10
ab tak tu aik bhi nai bani magar koshih kar rahay hain agay Allah malik hai
larkiyaan shadi k baad moti q ho jati hain ?
|
|
|
Post by nida on Sept 16, 2006 3:47:06 GMT 10
yeh tho mujhey bhi nahi pata ... Chalo next one agar kisi ko reply ata hai tho de dein plsshh.,....!! zee ka question hai k .. Larkiyan shaadi k baad moti q hoti hian ??
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 16, 2006 4:50:20 GMT 10
Nida ji jin ko dhoka dena aata hai woh pata b nahi lagny dety aor apna kaam kar jaty hain. aor zee bhai aap k sawal ka jawab yeh ahi k larkyan shadi k baad moti is liye ho jati hain kayon k woh shadi se pahle nahi hoti
|
|
|
Post by nida on Sept 16, 2006 5:04:30 GMT 10
Imran aap ki baat bilkul sahee hai k dhoka dena jinhey hota hai bata kar nahi detey isa liyea kudhko in sab sey diurr rakhna chayea...
ab yeh hai sawaal k ... kisi par trust karna chayea k nahi ..??
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 16, 2006 5:26:49 GMT 10
Bilkul sahi kaha Nida aap ne k aise lougon se bachna hi chahye. mager shayed kissi ko b pata nahi hota k kon dhoke baaz hai. is liye just Allah se hi Dua karni chahye k hum ko aise lougon se bachay. aor rahi baat trust ki tu trust karna hi parta hai. Misaal k tour per is group ko hi le layn. ager zee bhai ko hum per trust hai tu unhon ne hum ko yahan managers ya assist manager banaya hai. is liye her insaan ko kissi na kissi per tu trust karna hi parta hai.
My Q 17 sep ko dosti-Club main kon c khaas baat hai?
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 16, 2006 7:15:57 GMT 10
|
|
|
Post by lazyprincessk on Sept 16, 2006 18:54:27 GMT 10
sweet 16 -3 +2 x 1 +5 =
BiRthdays year mai 4 times kyonnn nahi hotaaa...??
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 17, 2006 3:15:41 GMT 10
ye tu celebration per depend kerta hay ap saal main 4 baar mana len lekin......... ap 4 baar isliye mana nahi sakte ke ap 4 baar peda nahi howe ............ok
My question is: Birthday per life ka aik saal kam ho jaata hay..........phir khush kis baat ki manai jaat hay?
|
|
|
Post by nida on Sept 17, 2006 3:35:24 GMT 10
hmm..Kushi is liyea manai jati hain Birthday par k hum saaalasaal just tense n worried rehtey hain so yeh pal mila hai is din ko enjoy karo aur doosron ki duhaein lo .. Shaaz hamara Birthday treat hameymiley ga k nahi ..??
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 17, 2006 4:31:56 GMT 10
well .....ye sawal tu shaaz ke liye hay
mujhe bhi chahiye treat......shaaz ........jaldi jaldi send cake to dosti club
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 17, 2006 4:41:10 GMT 10
yeh tu shaaz hi bataye gi
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 17, 2006 6:41:15 GMT 10
Me bhi w8ing 4 cake shake Q,Birth day par cake hi kiu kattay hain ??
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 17, 2006 14:30:38 GMT 10
not necessory kuch bhi kaat ker celebrate kya jaa sakta hay......Tarbooz......bhi
Q. Aankhon ke zariye har baat dil main kese utar jaati hay?
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 17, 2006 17:25:31 GMT 10
Ankhon may sacanning machine fit hoti hay na? ? Qusoore ankhon ka hota hay saja dil ko kiu milti hay
|
|
|
Post by angel on Sept 17, 2006 18:41:25 GMT 10
Dil un ka saath jo deta hai ...
kya iss zamanay mein bhi koi kisi k liye true feelings rekhta ho ga???
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 17, 2006 20:47:11 GMT 10
i think no.......har true feeling ke peeche koi na koi matlab chupa hota hay.......... true person , personality and feelings we cant find in this world.
dunya gham deti hay .....shareek-e-gham kyon nahi hoti?
|
|
|
Post by zee on Sept 17, 2006 22:49:24 GMT 10
Angel k sawal ka jawab yeh hai k agar aap ki feelings true hain tu samnay wala zaroor un ki respect karnay par majboor ho jaye ga yeh mat socho k samnay wala kaisa hai yeh dekho k aap khud kaisy ho aap true feeling rakhtya naain aur samnay walay say ummed rakhtay ho k woh aap k saath sincere rahay tali dono hatoon say bajti hai true feelings , true dosti apni jaga khud bna leti hain
|
|
|
Post by zee on Sept 17, 2006 23:00:51 GMT 10
hmm sohni ab aik waqt main aik he kaam ho sakta hai ya tu tum gham lay lo ya kisi ki shareek-e-ghum ban jao aaj tum kisi ki shareek-e-ghum bano gi tu kal koi tumhara shareek-e-ghum banay ga is tarah duniya say yeh ilzam khatum ho jaye ga
Mard shadi k baad ganja q ho jata hai ?
|
|