|
Post by SupremeSohni on Sept 23, 2006 20:40:46 GMT 10
unke ander ka shaitaan qaid nahi hota na sadia ji.........
kya daulat sehat se ziyada qeemti hay?
|
|
|
Post by zee on Sept 24, 2006 4:44:24 GMT 10
ofocurse dulat qeemti hai coz woh dulat hai aur dulat say sehat bhi khareedi ja sakti hai aur khoobsurati bhi
wajpai nay shadi q nahi ki ?
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 24, 2006 6:17:38 GMT 10
Qasam say mujhay nahi pata larkay zeada flurt hotay hain ya larkean? ??
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 24, 2006 15:09:24 GMT 10
sadia ji wese tu dono hi kisi se kam nahi....... larkiyaan bhi flirt kerteen hain aur larkon se khoob khoob paise kahrch karati hain , gift leti hain......... aur phir apne raaste chal deteen hain.....
Agar Apko aik din pagal khane main guzarna pare tu?
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 24, 2006 18:19:45 GMT 10
Sohni its not fair tum nay to sirf larleon k khilaf points deay hain yey to insaff na hooa
to ya to pagal theke ho jaen gay ya mazeed pagal ho jaen gay wesay yey dunya bhi to aqalmandon ka pagal khana hay Sohni Gi
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 24, 2006 18:20:57 GMT 10
yey log chand rat hi ko kiu shoping kartay hain? ?
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 24, 2006 18:28:45 GMT 10
actually sadia ....fact is fact .......larkiyon ke khilaaf baat ho ya larkon ke .......fact ko tu tasleem kerna hi parta hay aur mere pass life ke itne experience hain jo maine dekha hay woh likh diya hay .........wese larke bhi kuch kam flurt nahi hote woh bhi kaafi hote hain lekin ab larkiyaan samjhdaar ho gai hain larke ab line maarte hain tu larki line de kar unko khoob kangla ker deti hay aur poora poora badla leti hay........ any way
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 24, 2006 18:30:08 GMT 10
chand raat ham is liye celebrate kerte hian ke roze khatam ho chuke hote hain aur eid ki bohat ziyada khushi bhi hoti hay is liye dil khol ker shopping kerte hain
ap eid kese celebrate kerte hain?
|
|
|
Post by lazyprincessk on Sept 25, 2006 0:54:11 GMT 10
happY happY eid jaise..
every month EID kyon nahi hoti....??
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 25, 2006 3:29:09 GMT 10
if u happy by ur heart u can celebrate everyday like Eid.........
roze main munafa khori urooj per kyon hoti hay?
|
|
|
Post by zee on Sept 25, 2006 3:35:15 GMT 10
Rozay main ya Ramdan main ?
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 25, 2006 3:39:34 GMT 10
ramzan main munafa khori urooj per kyon hoti hay?
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 25, 2006 5:32:49 GMT 10
kayon k ramadan main kharchy zayada hoty hain
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 25, 2006 6:05:13 GMT 10
Sohni bat asal yey hay k khoolos kahen nahi hay dono hi aik doosray ko mohabbat k nam par fool bana ra hay hain kahen larkon ka pallh bhari hay kahen larkeon ka issi leay to kahti hon k doosron k dekh k ebrat pakro poets ki zeada tar poetry ya to mahboob par hoti hay ya chand rat par kiu? ??
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 25, 2006 13:04:58 GMT 10
coz poet ki shairi ka mehwar hi mehboob hota hay......... aur mehboob ko kyonke chand se tashbeh di jaati hay is liye thora bohat chaand per bhi likh deta hay.........
........... sadia main phir bhi yehi kahoon gi ke doosron ke tajurbaat se ibrat pakarne ke bajae self experience par bhi believe rakho.........coz sab log aik jaise nahi hote...... mujhe meri hi aik dost ne dhoka diya .....tu kya mera yaqeen uth jaae dosti se ......main kisi se dosti kerna hi chor doon ........ nahi na.....
Q. chalen khawateen ki eid ki shopping kya kya hogi bataen ?
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 25, 2006 18:25:22 GMT 10
Sohni gi apna apna way ao thinking hay ham doosron k tagarbon say sabaq seekhnay walon may say hain
Khaeateen ki shoping jwellory kapray aur maching shoes k alawa kia ho sakti hay han married khawateen k sar par un k sohor aur bachon ki zimadari bhi agati hay
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 26, 2006 0:34:37 GMT 10
sadia ji........where is the question........
chalen ye bataen ke larkiyon ki eid tayyari main kya kya shamil hota hay?
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 26, 2006 19:25:56 GMT 10
Kiu tum Eid ki shopping nahi karten kea yarvtum bhi to larki ho tumay to pata hi hoga
Ap ki nazar may science ki sab say bari ejad kia hay???
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 27, 2006 0:29:44 GMT 10
internet...........coz we intough eaach other........regularly
insaan ka dil aik minute main kitni dafa beat kerta hay?
|
|
|
Post by angel on Sept 27, 2006 1:04:29 GMT 10
72 times in a minute
Q: murgi(hen) pehlay aye ya phir Egg??
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 27, 2006 3:09:00 GMT 10
na mughi na egg........pehle ..........murgha aaya.......
dil jalta hay tu dohwaan kyon nahi hota?
|
|
|
Post by zee on Sept 27, 2006 4:03:25 GMT 10
aaj kal woh murgha kahan hai sohni ? tum apnay sar par chmini lagwa lo ho sakta hai aisay dhawaan nazar aa jaye mera sawal sohni k sar par chimni lagwanay say dhowaan nazar aaye ga ya nahi ?
|
|
|
Post by Prince_Imran on Sept 27, 2006 4:22:22 GMT 10
I think nazar aaye ga
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 27, 2006 6:40:39 GMT 10
Mera khyal hay k iss bat ka pata karnay k leay to chimni lagani paray gi kia ap bhooton par yaqeen rakhtay hain? ?
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 27, 2006 12:45:40 GMT 10
g....bilku. bhoot pareet ka zikr quraan shareef main bhi hay sadia ji....... zara turjume ke saath parh ker dikahiye ga...........
zee har baat ka ulta jawab kyon dete hain?
|
|
|
Post by angel on Sept 27, 2006 16:34:37 GMT 10
kyun k un ka demagh ulat gya hai... communication berhnay se dil kuyn door ho rehe hain??
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 27, 2006 18:34:54 GMT 10
Aray dil k mamlat hotay hi kharab hain Angel gi Aur sohni gi Quran may jinnat ka zikar hay yey chorel boht paleet may inn ki bat kar ra hi thi
Kia ap ka kabhi kisi bhoot say wasta para???
|
|
|
Post by SupremeSohni on Sept 28, 2006 1:36:44 GMT 10
haan na roz parta hay dosti club main............ angel bohat acha question hay tumhara isi ko aage burhaate hian aur auron ki raae lete hain.... communication barhne se dil kyon door ho rahe hain? wese mera khayal hay ke ham jin ke baare main kuch baat kerte hain communication barhne se un tak pohanch jaati hay forun is tarah ghalat fehmiyaan aur dooriyaan create ho rahi hain.
|
|
|
Post by zee on Sept 28, 2006 2:54:08 GMT 10
mera tu khayal nahi hai k communication nay dil k mamlaat par kuch aasar dala ho balkay communication ki waja say dil aur aik dosray k nazdeek aa gaye hain aur faslay bhi simat gaye hain so angel aap ka yeh sawal he galat hua
|
|
|
Post by angel on Sept 28, 2006 3:16:49 GMT 10
aray Zee be broad minded...i m not talking abt comunications b/w boys n gals but i m talking generally...
n i think yeh iss liye hai k comunications se hum ek dosray k buhat kareeb aa gay hain jiss se ek dosray ki burayan bhi nazar anay lagi hain...so dil door ho rehe...jessay woh kehtay hain na"door k dhool suhanay hotay hain"
|
|