Post by Jerk . JiLaWaTaN . on Jul 22, 2006 6:58:28 GMT 10
Maghroor Hi Sahi Mujhay Acha Buhat Laga
Ajnabee To Tha Magar Apna Buhat Laga
Sehra Mein Jo Jee Raha Tha DiryaDilli Ke Saath
Dekha Jo Ghor Se To Woh Piyasa Buhat Laga
Woh Jis Ke Daam Qadam Se Thin Basti Ki Ronnakein
Basti Ujar Gai To Akela Buhat Laga
Leptta Hua Khaher Mein Khizan Ka Chand
Melay Libas Mein Bhi Woh Piyara buhat Laga
Resham Pehan Ke Bhi Meri Qemat Na Barh Saki
Khadar Bhi Uske Jism Par Mehnga Buhat Laga
Tariq Jab Aaine Pe Meri Sans Jam Gai
Mujh Ko Khud Apna Aaks Bhi Dhundla Buhat Laga.
*********
" FARK SIRF ITNA HOGA "
Tum kisi ki zindagi main ja rahi hogi
Main tumhari zindagi se ja raha honga
Mera naseeb teri kismat se acha hoga
Mera gham teri khushi se acha hoga
Yakeen na aae to apni ankhoon se dekhna
Mera janaza teri baraat se acha hoga
Mere samne rukhsat jo teri baraat hogi
Us lamhe gul-e-shamay hayaat hogi
Wo bhi jan kesi aafat ki raat hogi
Pehloo main kisi k meri Kainaat hogi
*************
Kuch Pagal Pagal Hotey Hein
Pyaar ke deep jalaney waley kuch pagal pagal hotey hein
Apni jaan se janey waley kuch pagal pagal hotey hein
Hijar k gehrey zakhm milley tu mujh ko kuch ehsaas hua
Pagal ko samjhaane waley kuch pagal pagal hotey hein
Jan se pyare loogon se bhi kuch kuch perda lazim hai
Sari baat bataney waley kuch pagal pagal hotey hein
Khawboon mein bhi piya milan ke sapney deikhtey rehtey hein
Neendoon mein muskaney waley kuch pagal pagal hotey hein
Iss johti nagri mein hum ne yehi hamesha deikha hai
Sachi baat bataney waley kuch pagal pagal pagal hotey hein
Pyaar jinhein ho jaye un ko chain bhala keb mill pata hai
Shab bhar ashk bahaney waley kuch pagal pagal hotey hein
Apni zaat k ujrey gulshan se wo pyaar kahan kertey hein
Auroon ko mehkaney waley kuch pagal pagal hotey hein
Us k ISHQ mein bheeg ke hum ko yeh ehsaas hua
Dil ki baat mein aney waley kuch pagal pagal hotey hein
********
HUM PIYAAR KARTAY HAIN
Dil Hi Dil Main Hum Un Say Pyaar Kartay Hain
Chup-Chap Unki Mahobbat Ka Intezaar Kartay Hain
Jin Rahoon Par Un Ka Chalna Mushkil Hai
Un Hi Rahoon Pay Hum Un Ka Intezaar Kartay Hain
**************
ANKHOON MAIN AANSOO
Aankhon Main Aanso Aa Jatay Hain
Phir Bhi Labon Pay Hansi Rakhni Parti Hai
Yeh Mohabbat Bhi Kya Cheez Hai Yaaro
Jisay Chahtay Hain Usi Say Chupani Parti Hai
******
AANKHOON KI ZUBAAN
Aankhon Ki Zuban Woh Samajh Nahin Patay
Hoont Magar Kuch Keh Nahin Patay
Apni Bebassi Kis Tarhan Kahain Hum
Koi Hai Jis K Bina Hum Reh Nahin Patay
*********
barishein maangata ek ped jogin ki taraha,
tamam umra ek hi paoon par khara rehta hai.
khaak sarko ki chhani magar wo na mila,
zarre zarre mein suna tha ek khuda reheta hai.
maraham na lagane ki khai hai humne kasam,
kabtalak dekhiye ye zakhm hara rahta hai.
hathon mein mere ek tasveer rahti hai faraaz,
aastin mein mere khanjar bhi chupa rahata hai.
*********
~*Kuch Likhna Chahata Hoon*~
Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon ?
Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?
Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?
Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?
Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?
Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon?
*********
Manzil nahee rahee koi rasta nahee raha,
Apnay hee shehr mein koi apna nahee raha
hum harf-e-saiban say bezaar ho gay,
jab say tumhare zulf ka saya nahee raha
mana k hum bhe na ho sakay waqf rahguzer,
tu bhe to apnay gher say nikalta nahee raha
mangain salamty kee duain bohut mager,
un andhiyon mein koi bhe khaima nahee raha
mehfooz kab rahe hai sharafat kee abro,
kiss dour mein ghareeb ka chercha nahee raha
bhujnay lagy hain Qarya-e-mayygan ke mashalain,
palkon pay husraton ka jhamela nahee raha
ghairon pay aitbar kerin bhe to kiss terha,
humain to kud pay bhe bharosa nahee raha...