|
Post by toweringniceguy on Jul 16, 2006 13:45:29 GMT 10
Qalam uthaa ke socha.. By: Kawar
kuch aisaa likhoon… kuch nayaa saa.. kuch nayaab.. kuch mere ehsasaat se labrez.. kuch mere jazbaat se chalakta hua… kuch mere khaahishon ka rang liye. Alfaaz ke muaamle main… pehli dafaa apni mehroomi se saamna huaa. Kyaa likh doon… jo tumhare dil main youn utar jaaye.. jaise khushboo kisi phool main samaa jaaye kuch aisaa jo tumhare honthon pe thirke to.. sargam ban jaaye… jisse tum gaao to ghazal ban jaaye. Kuch aisaa jisse tum odh sako… apni muattar jild ke itne nazdeek rakho.. ki main sharmaa jaoon. Dil chaahe.. ki kuch aisaa hi likh doon ki tumare chehre pe Vo tamaam rangat bikhar jaaye.. jo mere wujood ka haasil hai. Vo muskurahat.. jo jeene ka sabab bann chuki hai… vo hansi jo mere sukoon ka baais… tumhari ho jaaye.. tum main kho jaaye.. jabb tum parho.. mere alfaaz ko Mehsoos karo unhen… us shiddat se.. jo mehsoos ki mere qalam ki jumbish ne. Us kaghaz ke purze main.. chupi meri duaaon ko tum apne daaman me chupaa lo… ik ansoo us pe tapkaao.. unhen zindaa karo do. Mere alfaaaz ko padh kar.. unhen zindagi bakhsho
|
|
|
Post by captain on Jul 16, 2006 18:36:50 GMT 10
|
|
|
Post by zee on Jul 17, 2006 1:43:09 GMT 10
very nice
|
|
|
Post by prettyss0 on Jul 17, 2006 2:44:40 GMT 10
nice
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jul 17, 2006 16:01:51 GMT 10
Qalam main bohat taqat hay..........
nice
|
|