|
Post by SupremeSohni on Jul 24, 2006 19:06:28 GMT 10
Ek Gulab Tha.... Bara Udaas Tha.... Rang Bhi Us Ka Tha Kuch Uda Uda Sa.... Shabnam Ke Ansoo Rawan Thay Us Ke.... Dil Tha Us Ka Kuch Bujha Bujha Sa.... Bahar Ka Tha Mosam Phir Bhi Na Khila Tha.... Dali Say Tha Who Apni Kuch Jhuka Jhuka Sa.... Main Nay Ju Dekha Usay.... Pass Ja k Pocha Us Say.... Kyon Ha Udas To? Kyon Kerta Ha Dil Barbad To? Kis Ko Kerta Ha Yaad To??? Yeh Sun Ker Who Ronay Laga.... Shabnam K Ansoo Say Moon Dhonay Laga.... Or Rotay Rotay Bas Yeh Kehnay Laga.... Mera Yar Mugh Ko Chor Gaya Hai..... Mera Pyar Mugh Say Moon Mor Gaya Hai.... Ab Main Kis K Liyay Khil Jaoon.... Ab Main Kis K Liyay Khushboo Mahkaoon.... Mujhe Kon Apnay Dil Say Lagaie Ga... Mujh Ko Kon Apni Sansoon May Basay Ga.... Mera Chaman Ujad Gaya Hai.... Mera Yaar Mujh Say Bichar Gaya Hai.... Bas Ab To Her Lamhay Us Ki Yad Hai.... Bas Baqarari Hai.. Tarap Hai Fariyaad Hai... Mujh Ko Koe Meray Yaar Say Mila Dai... Mujh Ko Koe Mera Pyar Lota Dai.... Woh Ayey Ga Tu Khil Jaoon Ga Mai..... Apni Zindagi Say Mil Jaoonga Mai...
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jul 24, 2006 19:06:46 GMT 10
Tum Hi Tum Ho... "Meri soch ki hadain hain jahan talak, Wahan tum hi tum ho, Meri nazar ki had hai jahan talak, Wahan tum hi tum ho, Mera sehra hai jahan talak, Barsaat tum hi tum ho, Meri barsaat hai jahan talak, Ghata tum hi tum ho, Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak, Har qadam pe tum hi tum ho, Mere dil ki waadi hai jahan talak, Har chehraa tum hi tum ho, Mere chehre pe muskurahat hai jab talak, Muskurahat tum hi tum ho, Meri aankhon ki shararat hai jab talak, Woh sharart tum hi tum ho, Mere pyaar ka sehar hai jahan talak Us sehar mein tum hi tum ho, Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak, Wahan tum hi tum ho, Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak, Woh umeed tum hi tum ho, Mujhe sahara hai jahan talak, Woh saheban tum hi tum ho, Mere dil ki khusiyan hai jahan talak, Woh sapne tum hi tum ho, Meri nazar mein chandni hai jahan talak, Woh roshn i tum hi tum ho, Meri umeed ki kirne hai jahan talak, Sab roshniyan tum hi tum ho
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jul 24, 2006 19:07:04 GMT 10
tum door ho kay be meray pass rehtay hoo meray dil mey bastay ho meray saath rehtay hoo shab-e-tanhi ke ik ik gharee phool bantee hey khushbu ban kay tum mera angaan mehkatay hoo tumare yaad ke hidatt say jab jalta hey dil mera tab tum payar ka sawan ban ky baras jatay hoo jab be kabi woh surmaee ankhyn uthtee haan mera dil machalta hey aur tum sansay ban jatay hoo shab-e-hijraan may chamaktay meh-o-anjum sab mandd pertay haan janaa jab tum samnay atay hoo tumaray sard rawaye pey haan jalta hey jee mera kiun khud be tarapty ho aur mujko be tarpatay hoo
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jul 24, 2006 19:07:27 GMT 10
Pehla Pyaar Ye mujhe ajkal kya ho raha hai Sapne mein koi aa raha hai Aankhein jo bandh karun apna Usika chehra samne aa raha hai
Is khayal ko kya kahu Is mushkil ka kya karu Tumhi bataon ae dostv Kya ise hi pyaar kahu?
Usike ke khayalon mein khoyi hoon main Usike yaadon mein gum hoon main Gazab ki baat to ye hai doston Aajkal shayari likh rahi hoon main
Dur Naa Jao! Dur jana kya jaroori he jab hum khadde hain intejar mein ake toh ek baar dekh lo kitne sapne rakkhe hain tumhare liye inn sapno ka mey kya karoon agar tum nahin rahe toh bikhar jayenge woh waqkt se pehle na tum honge, na sapne honge hum to yuhin reh jayenge intezar mein!
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jul 24, 2006 19:07:55 GMT 10
ek cheharaa saath saath rahaa jo milaa nahii.n kisako talaash karate rahe kuchh pataa nahii.n shiddat kii dhuup tez havaao.n ke baavajuud mai.n shaaKh se giraa huu.N nazar se giraa nahii.n aaKhir Gazal kaa taajamahal bhii hai makabaraa ham zindagii the hamako kisii ne jiyaa nahii.n jisakii mukhaalafat hu_ii mashahuur ho gayaa in pattharo.n se ko_ii pari.ndaa giraa nahii.n taariikiyo.n me.n aur chamakatii hai dil kii dhuup suuraj tamaam raat yahaa.n Duubataa nahii.n kisane jalaa_ii bastiyaa.N baazaar kyo.n luTe mai.n cha.Nd par gayaa thaa mujhe kuchh pataa nahii.n
|
|
|
Post by SupremeSohni on Jul 24, 2006 19:08:43 GMT 10
Kaho na .. Kuchh pal saath chale to jaanaa, Rastaa hai jaanaa pehchanaa . Saanso ko sur de jaataa hai, Tera yo.n sapano mai.n aanaa. Maine jatan kiye to lakho.n Mann ne meet tumhi ko maanaa Ab to haath thhaam lene do Aur kaho na , na na , na na ! Kuchh kaho na !
Sau janam ka saath apna, Sans ka dhadkan se jaise, Aas ka jeevan se jaise, Kaise kate saal solah, Shyam ki jogan ke jaise. Jhoot ke parde na dhoondo, Sach kaho na . Kuchh kaho na .. Ek dooje ke liye ham, Haath main kangan ke jaise, Pyaas main sawan ke jaise, Roop ko darpan ke jaise, Bhakt ko bhag_van ke jaise. Jheel si simtee na baitho, Kuchh baho na . Kuchh kaho na .. Jaanata hoon thak gayee ho, Umr ke lambe safar se, Saanp se dasate shahar se, Aas se aur aansuon se, Bheed ke gahare bhawanar se. Waqt firata hai suno, Itna daro na . Kuchh kaho na .. Kis tarah ladatee rahi ho, Pyaas se parchhaiyon se, Neend se , angadaiyon se, Maut se aur zindagi se, Teej se ,tanahaiyon se. Sab tapasya tod dalo, Ab saho na Kuchh kaho na !!
Kuchh kaho na ! Syaah sannaton main hamane, Umr katee hai tanhaa, Tang aur andhi surangen, Is gufaa se us gufaa.
Saans thi sahami hui si, Dhadakanon ko ek darr, Itnaa tanhaa aur lambaa, Zindgi ka uff safar. Door meelon door jalati , Lau koi lagatee ho tum , Tum ho,tum ho,Tum hi tum ho , Ho naa tum, tum, ho naa tum.
Pal se pal tak jee rahe hain, Tum hi pal pal aas ho na, Ek pal to aur thaharo , Ek pal dikhati raho na .
Kuchh kaho na !!
|
|
|
Post by prettyss0 on Jul 25, 2006 5:46:08 GMT 10
V nice
|
|
|
Post by zee on Jul 25, 2006 6:10:11 GMT 10
xcellent
|
|