|
Post by toweringniceguy on Jul 25, 2006 15:11:05 GMT 10
Aisa Nahi Ke Hum Ko
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,
Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,
Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,
Tujh Ko Gilla Rahi Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,
Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili,
Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi Fayyaz
Afsoos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili
|
|
|
Post by toweringniceguy on Jul 25, 2006 15:28:20 GMT 10
Dunya ke haqaiq se jo inkar karega... woh umar ki sab manzilain dushwar karega...
haan dard-e-muhabat se taghaful na baratna... pehlu se ye dushman ki tarhan war karega...
woh shakhs hai sahil pe hi mojon se harasaan... bephre hoye samander ko woh kiya paar karega...
jo shakhs behalta hai ujaloon ki chamak se... ujray hoye logon se woh kiya pyaar karega...
jazbat ki dunya main koi qaid nahi hai... kiya koi hawaoon ko giraftar karega...
chahat kisi zardar ki miraas nahi hai... 'dil' jise chahega usey pyaar karega…
|
|
|
Post by captain on Jul 25, 2006 17:29:58 GMT 10
|
|
|
Post by prettyss0 on Jul 26, 2006 7:15:05 GMT 10
koooooool
|
|