|
Post by toweringniceguy on Aug 4, 2006 15:51:54 GMT 10
Sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak Sard kamrey mein machalti garm saanson ki mehak Baazooaun ke sakht halqey mein koi nazuk badan Silwatein malboos par, aanchal bhi kuch dhalka hua Garmi-e-rukhsaar se dehki hui thandi hawa Narm zulfoon se mulaim ungliyon ki cher chaar Surkh honton par shrarat ke kissi lamhey ka aks Rashmeen baanhon mein choori ki kabhi madham khanak Sharmgeen lehjon mein dheerey se kabhi chahat ki baat Do dilon ki dharkanon mein goonjti thi ek sada Kaanptey honton pe thi ALLAH se sirf ek dua Kaash yeh lamhey theher jaein Theher jaein zara
|
|
|
Post by captain on Aug 5, 2006 1:42:14 GMT 10
|
|
|
Post by prettyss0 on Aug 5, 2006 7:28:19 GMT 10
Nice
|
|