|
Post by masom_baby on Aug 6, 2006 19:25:56 GMT 10
Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain Maazi ki wafaon main kuch sarab baaqi hain
Ab bhi waazai nahin hui tasveer zindagi ki Darparda ab bhi kuch naqaab baaqi hain
Har sawal apni jagah joon ka toon raha Zubaan pe shikayaton ke kuch jawab baaqi hain
Khali hua behte behte yaad main behta sagar Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain
Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko To usi dosti se kuch hisaab baaqi hain
Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya kahin be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain
Mar bhi nahin sakte ab to sukoon-e-zalim Hasrate reh jaain gi kuch hijaab baaqi hain
Musalsal jal rahe aatish-e-ishq ke angaron main Parastish ke aur bhi kuch aadaab baaqi hain Karoon
Kaghaz ke nazaron se mahak aaye gi kaise Haqeeqat ke guldano main kuch gulaab baaqi hain
Sab ko samajh na 'Shaiki' tu yaar be wafa Teri tarah lute yahan kuch nawab baaqi hain!!
|
|
|
Post by zee on Aug 6, 2006 19:43:44 GMT 10
|
|
|
Post by prettyss0 on Aug 6, 2006 21:55:27 GMT 10
nice
|
|