|
Post by SupremeSohni on Mar 17, 2007 1:27:32 GMT 10
Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi Sath reh kar bhi us ko na pana acha lagta hai Qismat main nahi phir bhi us ko chahtay hain Phool samjh kar kantoon per chalna acha lagta hai
Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai Gham chupa kar mehfil ko sajana acha lagta hai Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain Tanhai main gham k ansoo bahana acha lagta hai
Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil Us ki yaad main ratoon ko jaagna acha lagta hai Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay Zakham kha kar bhi muskurana acha lagta hai
Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se Tab apnay ansoon ko chupana acha lagta hai Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin Phir bhi khud ko ameer batana acha lagta hai
Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand Phir bhi baymool bik jana acha lagta hai Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay Phir bhi is ko chahna acha lagta hai
Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi Phir bhi safer kartay rehna acha lagta hai Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain Phir bhi is ka intazar kartay rehna acha lagta hai
|
|
|
Post by Prince_Imran on Mar 17, 2007 4:40:09 GMT 10
Very Nice
|
|
|
Post by Lovely on Mar 17, 2007 5:12:09 GMT 10
Very Nice
|
|
|
Post by shahreen110 on Mar 18, 2007 17:23:45 GMT 10
NICE..
|
|
|
Post by prettyss0 on Mar 18, 2007 18:23:03 GMT 10
v nice
|
|
|
Post by deadly on Mar 24, 2007 16:54:12 GMT 10
kool
|
|