|
Post by manobillii on May 1, 2007 1:41:26 GMT 10
[glow=red,2,300]MERAY HUMSAFAR[/glow]Mairay humsafar, tujhay kya khabar Yeh jo waqt hai kisi dhoop chaon k khail sa Isey daikhtey, isay jhailtey Mairi ankh gard se att gai Mairay khuwab rait mai kho gaye Mairay hath barf se ho gaye Mairay bekhabar tere naam per Wo jo phool khiltay they hont per Wo jo deep jaltay thay baam per, Wo nahi rahey Wo nahi rahey K jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya Wo hawa chali Wo kisi sham aise hawa chali K jo barg thay sar-e-shakhe Jan, wo gira diye Wo jo harf darj thay rait per, wo ura diye Wo jo raaston ka yakeen thay Wo jo manzilon k ameen thay Wo nishan-e-pa bhi mita diye! Mairay humsafar, hai wohi safar Magar aik moor k farq se Tere hath se mairay hath tak Wo jo hath bhar ka tha fasla Kai mosamon main badal gaya Usey naptey, Usey kaat tay Maira sara waqt nikal gaya Tu mairay safar ka shareek hai Main tere safar ka shareek hon Per jo darmayan se nikal gaya Usi fasley ke shumar main Usi be yaqeen se ghubar main Usi rahguzar ke hisaar main Tera rasta koi aur hai Maira rasta koi aur hai..
|
|
|
Post by Prince_Imran on May 1, 2007 3:56:10 GMT 10
Zabardast choice mano Very Nice keep it up
|
|
|
Post by zee on May 2, 2007 4:16:13 GMT 10
very nice
|
|
|
Post by deadly on May 3, 2007 14:28:27 GMT 10
Kool manu
|
|
|
Post by prettyss0 on May 3, 2007 19:06:01 GMT 10
v nice
|
|
|
Post by Raja on May 4, 2007 5:26:11 GMT 10
Kia baat hai Very Nice
|
|
|
Post by manobillii on May 4, 2007 7:13:43 GMT 10
Thanx all of you...
|
|