|
Post by SupremeSohni on Aug 19, 2007 22:02:26 GMT 10
Gulshan ki faqat phoolon se nahi kanton se bhi zaeenat hoti hai Jeene ki liye us dunya mein gham ki bhi zaroorat hoti hai Ay waiz e nadan! kerta hai tu aik qiaymat ka churcha Yahan rooz nigahain milti hain yahan rooz qiamat hoti hai Wo persish e gham ko aye hain kuch keh na sakon chup reh na sakon Khamoosh rahon to mushkil hai keh don tu shikayat hoti hai Kerna hi paray ga zabt e alam peene hi parain ge aansu Furyad o fughan se ay nadan! toheen e mohabbat hoti hai Jo a ke rukay daman pe saba wo ushk nahi hai pani hai Jo ushk na chulke ankhon se usi ushk ki keemat hoti hai[/size][/color][/font]
|
|
|
Post by shahreen110 on Aug 19, 2007 23:38:48 GMT 10
nice
|
|
|
Post by deadly on Aug 20, 2007 14:02:29 GMT 10
Wha wha
|
|
|
Post by zee on Aug 20, 2007 19:03:18 GMT 10
ko0o0l
|
|
|
Post by prettyss0 on Aug 29, 2007 18:13:47 GMT 10
nice
|
|