|
Post by SupremeSohni on Aug 31, 2007 21:17:11 GMT 10
Apni Marzi se kahan
Apni Marzi se kahan apne Safar ke Hum hain Rukh Hawaaon ka jidhar hai, udhar ke Hum hain
Pehle her Cheez thi apni magar ab lagta hai Apne hi ghar mai kisi Dusre Ghar ke Hum hain
Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon tak Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain?
Chalate rehte hain k chalna hai Musaafir ka Naseeb Sochte rehte hain k kis Rah-Guzar ke Hum hain
Gintiyon mai hi gine jate hain her Daur mai Hum Her Qalam-kaar ki Benaam khabar ke Hum hain
|
|
|
Post by zee on Sept 1, 2007 2:09:44 GMT 10
nice
|
|
|
Post by shahreen110 on Sept 4, 2007 19:46:43 GMT 10
/\/ice
|
|