|
Post by SupremeSohni on Sept 14, 2007 2:22:30 GMT 10
Ramazan Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein Dar-e-Tauba Khula Hai Is Mahine Mein
Firdous Ki Khusboo Ati Hai Woh Naseeb Wala Hai Jise Mile Firdous Ao Aaj Hum Koshish Karein Usse Paane Ki, Jise Hum Ne Abhi Talak Paya Hi Nahin
Ibadatoon Ke Is Door Mein Ao Maangein Sub Ke Liye Magfarat Maangtein Hain Hum Kuch Na Kuch Apne Liye Chalo Aaj Doosroon Ke Liye Maangein
Ramadhan Ki amad Ki Khusi Hai Bahut Saath Hi Is Ke Jald Roohsat Ho Jaane Ka Ghum khuda Kare Waqt Tham Jaein Us Waqt Jab Baras Rahi Ho Khuda Ki Rehmat Hum Par
Ramadhan Ke Roohsath Hone Se Pehle Dar-e-Tauba Band Hone Se Pehle Is Mubarak Mahine Ki Har Fazilat Hasil Kar Lein Jo Hum Ghuzishta Saaloon Mein Hasil Na Kar Sake
Ramadhan Mubarak... Ramadhan Mubarak... Ramadhan Mubarak... Ramadhan Mubarak...
|
|
|
Post by zee on Sept 15, 2007 14:33:53 GMT 10
very nice
|
|
|
Post by sialkoty on Sept 15, 2007 20:34:50 GMT 10
great
|
|
|
Post by prettyss0 on Sept 20, 2007 18:44:33 GMT 10
v nice
|
|