|
Post by angel on Dec 24, 2007 4:45:18 GMT 10
~~JAB BHI QAREEB AATI HOON~~
Jab bhi qareeb aati hoon batanay k liye Zindagi door rakhti hai satanay k liye
MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay Main to hansti hoOn gham chupanay k liye
In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi Main door hoon tumse, paas aanay k liye
Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko Main to rooti hoon tumhein rulanay k liye
Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka Main to khaili thi aag se jal janay k liye
Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi Main to jeeti thi zindagi, mar janay k liye
|
|
|
Post by deadly on Dec 24, 2007 14:02:04 GMT 10
kool yaar
|
|
|
Post by shahreen110 on Dec 24, 2007 16:57:42 GMT 10
nice
|
|
|
Post by zee on Dec 24, 2007 22:44:20 GMT 10
kafi rooti dhooti poetry thi marnay, maarnay ki bhi batein thi nice choice
|
|
|
Post by angel on Dec 25, 2007 20:23:19 GMT 10
thanx frndz.... kabhi kabhi rooti dhooti poetry bhi tu honi chahiye na:)
|
|
|
Post by deadly on Dec 26, 2007 14:07:11 GMT 10
Zee bhai jab tak Poetry main dard na ho maza he nahi ata
|
|
|
Post by zee on Dec 26, 2007 22:42:05 GMT 10
hmm toh aap dosron ko dard main dekh kar maza hasil kartay hain
|
|
|
Post by angel on Jan 1, 2008 5:30:06 GMT 10
aray nahi zee dard main dekh k maza nahi letay lekin poetry mein emotions dard se hi atay hain....samjhayyy?
|
|